do peD the bechaare
bastī meñ ik kināre
do peḌ the bechāre
kahte the apnā dukhḌā
kis ko sunā.eñ pyāre
insāñ ne ham se badle
kis baat ke utāre
ham to unheñ dikhā.eñ
dilkash hasīñ nazāre
ḳhud paas kuchh na rakheñ
phal un ko de deñ saare
un ke maveshiyoñ ko
deñ ham hī sabz chāre
bārish ho ham jo chhoḌeñ
kuchh bhaap ke ġhubāre
ho dhuup chilchilātī
tab ham baneñ sahāre
garmī meñ ham chalā.eñ
ThanDī havā ke dhāre
gandī havā ko chhāneñ
shāḳhoñ ko ham pasāre
lekin sila ye paayā
in ḳhidmatoñ kā pyāre
maare koī kulhāḌī
koī chalā.e aare
bachchoñ kā ġhol aayā
jab bhī tale hamāre
shāḳheñ kisī ne toḌīñ
patthar kisī ne maare
chāqū se naam khodā
chhilke bhī chhīl utāre
ham to yahāñ pe ug kar
maare ga.e haiñ maare
jañgal meñ ham jo ugte
hote maze hamāre
din shahrī zindagī ke
kis dukh se haiñ guzāre
basti mein ek kinare
do peD the bechaare
kahte the apna dukhDa
kis ko sunaen pyare
insan ne hum se badle
kis baat ke utare
hum to unhen dikhaen
dilkash hasin nazare
KHud pas kuchh na rakhen
phal un ko de den sare
un ke maweshiyon ko
den hum hi sabz chaare
barish ho hum jo chhoDen
kuchh bhap ke ghubare
ho dhup chilchilati
tab hum banen sahaare
garmi mein hum chalaen
ThanDi hawa ke dhaare
gandi hawa ko chhanen
shaKHon ko hum pasare
lekin sila ye paya
in KHidmaton ka pyare
mare koi kulhaDi
koi chalae aare
bachchon ka ghol aaya
jab bhi tale hamare
shaKHen kisi ne toDin
patthar kisi ne mare
chaqu se nam khoda
chhilke bhi chhil utare
hum to yahan pe ug kar
mare gae hain mare
jangal mein hum jo ugte
hote maze hamare
din shahri zindagi ke
kis dukh se hain guzare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.