do piyaade
sardiyoñ ke mausam meñ pichhlī raat ko chhat par
ham jo ek duuje se chāñdnī kī bārish meñ
be-zabān jazboñ kī ḳhushbuoñ se milte the
husn-e-dilrubā terā lafz kī haqīqat se kitnā be-ta.alluq thā
an-kahā sunā sab kuchh lamha-e-masarrat thā
jab se lab-kushā.ī ke silsile hue jaarī
terī merī bahsoñ ne
an-kahā sunā sab kuchh
mantiqoñ dalīloñ ke vāhimoñ se gadlāyā
aur phir mohabbat ke sab gulāb sañvlā.e
aaj ajnabiyyat kī be-samar fazāoñ meñ
ham ki ek duuje se kitne be-ta.alluq haiñ
avvalīñ rifāqat kī saarī ḳhaslateñ kho kar
is bisāt-e-hastī par
sirf do payāde haiñ
sardiyon ke mausam mein pichhli raat ko chhat par
hum jo ek duje se chandni ki barish mein
be-zaban jazbon ki KHushbuon se milte the
husn-e-dilruba tera lafz ki haqiqat se kitna be-talluq tha
an-kaha suna sab kuchh lamha-e-masarrat tha
jab se lab-kushai ke silsile hue jari
teri meri bahson ne
an-kaha suna sab kuchh
mantiqon dalilon ke wahimon se gadlaya
aur phir mohabbat ke sab gulab sanwlae
aaj ajnabiyyat ki be-samar fazaon mein
hum ki ek duje se kitne be-talluq hain
awwalin rifaqat ki sari KHaslaten kho kar
is bisat-e-hasti par
sirf do payaade hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.