do sanson ki gahrai mein
do sāñsoñ kī gahrā.ī meñ
jahāñ lahū
behad bhītar ke, bilkul sākit
maidānoñ meñ
chāñd kī har rañgat bahtā hai
vahāñ palī
ik nañgī naarī
behad bhītar kī rakhvālī
chāñdī jaise lahū ko apne
badan meñ bhī tanhā paatī hai,
shunvā.ī se duur hamesha
shunvā.ī kā lab hotā hai
nañgī naarī
do sāñsoñ ke behad bhītar
saañs ke ban meñ
ghabrātī hai
chāñd hamesha se bahtā hai
saañs hamesha hī jaarī hai
raat nigāhoñ ke andar bhī
bāhar bhii! ik bedārī hai
do sanson ki gahrai mein
jahan lahu
behad bhitar ke, bilkul sakit
maidanon mein
chand ki har rangat bahta hai
wahan pali
ek nangi nari
behad bhitar ki rakhwali
chandi jaise lahu ko apne
badan mein bhi tanha pati hai,
shunwai se dur hamesha
shunwai ka lab hota hai
nangi nari
do sanson ke behad bhitar
sans ke ban mein
ghabraati hai
chand hamesha se bahta hai
sans hamesha hi jari hai
raat nigahon ke andar bhi
bahar bhi! ek bedari hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 73)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.