do tahon wali sargoshi
samā.ateñ phuul chun rahī haiñ
ki ḳhaak meñ lū kā isti.āra
hirās kī manziloñ se ho kar
hamāre sīnoñ meñ maujzan ho
hamārī āñkheñ
hamāre halqe
na jaane kis din se muntazir haiñ
ki vo bhī dekheñ koī sitāra
koī sitāra
jo nīl-gūñ pāniyoñ ke andar
nasheb ko raushnī se bhar de
samā.ateñ phuul chun rahī haiñ
ki habs TuuTe
havā chale aur hazār rāteñ
bichhī huī sā.atoñ ko apnā gavāh laa.eñ
samaaten phul chun rahi hain
ki KHak mein lu ka istiara
hiras ki manzilon se ho kar
hamare sinon mein maujzan ho
hamari aankhen
hamare halqe
na jaane kis din se muntazir hain
ki wo bhi dekhen koi sitara
koi sitara
jo nil-gun paniyon ke andar
nasheb ko raushni se bhar de
samaaten phul chun rahi hain
ki habs TuTe
hawa chale aur hazar raaten
bichhi hui saaton ko apna gawah laen
- Book : Pakistani Adab (Pg. 196)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.