do tarah ke haiñ badan
do tarah ke pairahan
ik sajal be-rang resham sā libās
jis meñ lipTā merā fan
jis meñ palte haiñ ḳhayāl
ik tarah kā pairahan
taaza ujle suut kā
jis meñ rakhā hai badan
aur mere ḳhatt-o-ḳhāl
pairahan uupar kā utre
to pahan luuñ maiñ kisī dīvār ko
yā gumāñ ko chhoḌ kar
maiñ yaqīñ ko oḌh luuñ
pairahan andar kā utre
aur huuñ maiñ be-libās
āgahī ko DhūñD kar maiñ
is zamīñ ko oḌh luuñ
do tarah ke hain badan
do tarah ke pairahan
ek sajal be-rang resham sa libas
jis mein lipTa mera fan
jis mein palte hain KHayal
ek tarah ka pairahan
taza ujle sut ka
jis mein rakha hai badan
aur mere KHatt-o-KHal
pairahan upar ka utre
to pahan lun main kisi diwar ko
ya guman ko chhoD kar
main yaqin ko oDh lun
pairahan andar ka utre
aur hun main be-libas
aagahi ko DhunD kar main
is zamin ko oDh lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.