agarche haiñ apnī jagah saare kaam
magar doctor kā hai apnā maqām
zarā dard meñ mubtalā hoñ agar
pukāre haiñ sab doctor doctor
kahīñ par agar ho burā hādisa
to phir kaam aatā hai ye nāḳhudā
kahīñ operation kahīñ surgery
bhalā kis se hogī ye chāragarī
badan kā har ik zaḳhm bharne ko haiñ
masīhā hī ye kaam karne ko haiñ
magar kaam ye zimmedārī kā hai
aur ehsās īmān-dārī kā hai
hai is kaam meñ yuuñ to mehnat baḌī
ḳhudā in ko detā hai izzat baḌī
baḌe ho ke sochā hai maiñ ne yahī
ki maiñ doctor hī banūñgī kabhī
ġharīboñ se maiñ fees lūñgī nahīñ
kabhī ye gunāh maiñ karūñgī nahīñ
mirī ye duā sun le mere ḳhudā
mujhe aisī ḳhidmat ke laa.eq banā
agarche hain apni jagah sare kaam
magar doctor ka hai apna maqam
zara dard mein mubtala hon agar
pukare hain sab doctor doctor
kahin par agar ho bura hadisa
to phir kaam aata hai ye naKHuda
kahin operation kahin surgery
bhala kis se hogi ye chaaragari
badan ka har ek zaKHm bharne ko hain
masiha hi ye kaam karne ko hain
magar kaam ye zimmedari ka hai
aur ehsas iman-dari ka hai
hai is kaam mein yun to mehnat baDi
KHuda in ko deta hai izzat baDi
baDe ho ke socha hai main ne yahi
ki main doctor hi banungi kabhi
gharibon se main fees lungi nahin
kabhi ye gunah main karungi nahin
meri ye dua sun le mere KHuda
mujhe aisi KHidmat ke laeq bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.