doctor fancho
kisī roz maiñ shahr ke pāgaloñ ko dinner par bulā.ūñgā
an se kahūñgā ki
ai dosto, dushmanoñ, meharbāno, kamīno
ye maanā ki tum kahkashāñ ke jarāsīm ho
aur sab rāste rome hī ko ga.e haiñ
magar ab
iTālī se aatī huī ik saḌak ke sipāhī kī siiTī suno
jo kahtī hai tum mar chuke ho
nahīñ to maiñ chaltī huī kaar se kuud kar apne battīs dāñtoñ
ko fōtpath par
doctor fāncho ke havāle karduñgā
kisi roz main shahr ke pagalon ko dinner par bulaunga
an se kahunga ki
ai dosto, dushmanon, meharbano, kamino
ye mana ki tum kahkashan ke jarasim ho
aur sab raste rome hi ko gae hain
magar ab
iTali se aati hui ek saDak ke sipahi ki siTi suno
jo kahti hai tum mar chuke ho
nahin to main chalti hui kar se kud kar apne battis danton
ko footpath par
doctor fancho ke hawale kardunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.