doctor ram babu saksena
ik adīb-e-nāmvar ik afsar-e-ā.alī-maqām
zaat saksena hai jis kī raam baabū jis kā naam
jis ne urdu par kiyā hai qābil-e-tārīf kaam
jis ko izzat kī nazar se dekhte haiñ ḳhās-o-ām
muḳhtalif mumtāz ohdoñ se huā jo sarfarāz
daur-e-ḳhidmat bhī guzārā jis ne bā-sad-ehtishām
us ne english meñ likhī urdu kī tārīḳh-e-adab
phir kiyā urdu meñ us ko chhāpne kā ehtimām
phir yahī tārīḳh hindī tarjuma ho kar chhapī
ġhair mulkoñ meñ bhī is tālīf kā hai ehtirām
zikr-e-ahl-e-harf hai jis meñ likhī vo bhī kitāb
us meñ samjhāyā 'anīs'-o-'mīr'-o-'ġhālib' kā maqām
shā.iroñ kā haal likkhā un kī tasvīroñ ke saath
aur añgrezoñ kā likkhā fārsī urdu kalām
haal urdu shā.irān-e-ahl-e-europe kā likhā
shā.irān-e-fārsī kā hai alag hindī kalām
chhap rahī hai masnavī-e-'mīr' bhī bā-ḳhatt-e-'mīr'
ab jadīd urdu adab kā ho rahā hai intizām
ab kahīñ urdu se vābasta ho koī ijtimā
har jagah us ko bulāte haiñ sabhī bā-ehtirām
us ne dī urdu adab ko zindagī-e-jāvedāñ
aur urdu se 'shifā' zinda rahegā us kā naam
ek adib-e-namwar ek afsar-e-aali-maqam
zat saksena hai jis ki ram babu jis ka nam
jis ne urdu par kiya hai qabil-e-tarif kaam
jis ko izzat ki nazar se dekhte hain KHas-o-am
muKHtalif mumtaz ohdon se hua jo sarfaraaz
daur-e-KHidmat bhi guzara jis ne ba-sad-ehtisham
us ne english mein likhi urdu ki tariKH-e-adab
phir kiya urdu mein us ko chhapne ka ehtimam
phir yahi tariKH hindi tarjuma ho kar chhapi
ghair mulkon mein bhi is talif ka hai ehtiram
zikr-e-ahl-e-harf hai jis mein likhi wo bhi kitab
us mein samjhaya 'anis'-o-'mir'-o-'ghaalib' ka maqam
shairon ka haal likkha un ki taswiron ke sath
aur angrezon ka likkha farsi urdu kalam
haal urdu shairan-e-ahl-e-europe ka likha
shairan-e-farsi ka hai alag hindi kalam
chhap rahi hai masnawi-e-'mir' bhi ba-KHatt-e-'mir'
ab jadid urdu adab ka ho raha hai intizam
ab kahin urdu se wabasta ho koi ijtima
har jagah us ko bulate hain sabhi ba-ehtiram
us ne di urdu adab ko zindagi-e-jawedan
aur urdu se 'shifa' zinda rahega us ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.