doctor-zakir-husain
ek mard-e-bā-safā thā doctor-zākir-husain
nek-dil farmāñ-ravā thā doctor-zākir-husain
sāda-dil sāda-mizāj-o-bā-amal insān thā
ḳhūbiyoñ kā aa.ina thā doctor-zākir-husain
pāsdār-e-hurriyat thā ābrū-e-hind thā
ek sachchā rahnumā thā doctor-zākir-husain
us ke hāthoñ meñ amānat thī vatan kī zindagī
ik amīn-e-bā-vafā thā doctor-zākir-husain
us ke hāthoñ meñ salāmat thā safīna desh kā
ya.anī apnā nāḳhudā thā doctor-zākir-husain
āsmān-e-ilm kā thā ik daraḳhshāñ āftāb
chashma-e-nūr-o-ziyā thā doctor-zākir-husain
mehrbānī har savālī par kiyā kartā thā vo
be-basoñ kā ham-navā thā doctor-zākir-husain
rahnumā-e-qaum ho kar bhī gadā-e-qaum thā
bekasoñ kā aasrā thā doctor-zākir-husain
shar.a kā pāband thā lekin ta.assub se barī
sach to ye hai devtā thā doctor-zākir-husain
ik daraḳhshanda sitārā thā hamāre desh kā
kyā batā.e charḳh kyā thā doctor-zākir-husain
ek mard-e-ba-safa tha doctor-zakir-husain
nek-dil farman-rawa tha doctor-zakir-husain
sada-dil sada-mizaj-o-ba-amal insan tha
KHubiyon ka aaina tha doctor-zakir-husain
pasdar-e-hurriyat tha aabru-e-hind tha
ek sachcha rahnuma tha doctor-zakir-husain
us ke hathon mein amanat thi watan ki zindagi
ek amin-e-ba-wafa tha doctor-zakir-husain
us ke hathon mein salamat tha safina desh ka
yani apna naKHuda tha doctor-zakir-husain
aasman-e-ilm ka tha ek daraKHshan aaftab
chashma-e-nur-o-ziya tha doctor-zakir-husain
mehrbani har sawali par kiya karta tha wo
be-bason ka ham-nawa tha doctor-zakir-husain
rahnuma-e-qaum ho kar bhi gada-e-qaum tha
bekason ka aasra tha doctor-zakir-husain
shara ka paband tha lekin tassub se bari
sach to ye hai dewta tha doctor-zakir-husain
ek daraKHshanda sitara tha hamare desh ka
kya batae charKH kya tha doctor-zakir-husain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.