doctor zor se
tū ne kī taḳhlīq ai mahv-e-ḳhirām-e-justujū
qatra-e-ḳhūn-e-jigar se kā.enāt-e-rang-o-bū
apnī dil-sozī se zarre ko banāyā āftāb
tū ne ulTā rū-e-mustaqbil se maazī kā naqāb
terī betābī nahīñ ālūda-e-nām-o-numūd
zindagī ko ik payām-e-mustaqil terā vajūd
vahm-e-bātil hai tire ehsās ko ḳhvāb-e-girāñ
tere har ik saañs kī qīmat hai umr-e-jāvedāñ
terī har jumbish meñ hai rāz-e-nizām-e-kā.enāt
terī har kāvish se paatā hai numū rang-e-hayāt
kār-gāh-e-zindagī meñ terī fitrat ābshār
terī sīrat nahr-e-shīrīñ terī himmat kohsār
faiz-e-mahr-o-māh tere jalva-e-īsār meñ
soz-o-sāz-e-ārzū tere dil-e-bedār meñ
haiñ subūt-e-jazba-e-ḳhidmat tire siine ke daaġh
phir huā raushan dakan meñ tujh se urdu kā charāġh
kyuuñ na itrā.ūñ ki ab apnā dilsitāñ khil gayā
bū-e-gul aane lagī bāb-e-gulistāñ khil gayā
zarre zarre ko dakan ke darḳhor-e-paiġhām kar
ai parastār-e-vatan apne vatan kā naam kar
tu ne ki taKHliq ai mahw-e-KHiram-e-justuju
qatra-e-KHun-e-jigar se kaenat-e-rang-o-bu
apni dil-sozi se zarre ko banaya aaftab
tu ne ulTa ru-e-mustaqbil se mazi ka naqab
teri betabi nahin aaluda-e-nam-o-numud
zindagi ko ek payam-e-mustaqil tera wajud
wahm-e-baatil hai tere ehsas ko KHwab-e-giran
tere har ek sans ki qimat hai umr-e-jawedan
teri har jumbish mein hai raaz-e-nizam-e-kaenat
teri har kawish se pata hai numu rang-e-hayat
kar-gah-e-zindagi mein teri fitrat aabshaar
teri sirat nahr-e-shirin teri himmat kohsar
faiz-e-mahr-o-mah tere jalwa-e-isar mein
soz-o-saz-e-arzu tere dil-e-bedar mein
hain subut-e-jazba-e-KHidmat tere sine ke dagh
phir hua raushan dakan mein tujh se urdu ka charagh
kyun na itraun ki ab apna dilsitan khil gaya
bu-e-gul aane lagi bab-e-gulistan khil gaya
zarre zarre ko dakan ke darKHor-e-paigham kar
ai parastar-e-watan apne watan ka nam kar
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.