dohri shahriyat
qissa dohrī shahriyat kā
ek hijrat ne likkhā hai
jism kī hijrat kahiye us ko
hāthoñ aur pairoñ kī hijrat
naak kaan aur hoñToñ kī hijrat
merā jism yahāñ hai lekin
ruuh kā Derā aur kahīñ hai
mere purāne ham-sā.e sab
merā chehra māñgte haiñ
aur na.e haiñ jitne bhī vo
jaan rahe haiñ mujh ko nayā
ā.īne meñ mujh ko apnā
dhundlā ḳhāka dikhtā hai
apnī jeb meñ rakhtā huuñ maiñ
donoñ ḳhatoñ kī ik pahchān
taaki bhuul na jā.ūñ maiñ ye
apnī zaat aur nām-nishān
qissa dohri shahriyat ka
ek hijrat ne likkha hai
jism ki hijrat kahiye us ko
hathon aur pairon ki hijrat
nak kan aur honTon ki hijrat
mera jism yahan hai lekin
ruh ka Dera aur kahin hai
mere purane ham-sae sab
mera chehra mangte hain
aur nae hain jitne bhi wo
jaan rahe hain mujh ko naya
aaine mein mujh ko apna
dhundla KHaka dikhta hai
apni jeb mein rakhta hun main
donon KHaton ki ek pahchan
taki bhul na jaun main ye
apni zat aur nam-nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.