Dor
mujhe ehsās hai ab bhī
us ik pal kā
jo merī zindagī kī uñgliyoñ se is tarah niklā
ki jaise Dor hāthoñ se nikal kar
uñgliyoñ ko kaaT jaatī hai
patañgeñ raqs kartī haiñ havā ke dosh par
aur koī apnī zaḳhm-ḳhurda uñgliyoñ ko
apne hoñToñ meñ dabā.e
zindagī kā zā.iqa mahsūs kartā hai
patañgoñ kī bajā.e
āsmāñ kī vus.atoñ meñ dā.era mahsūs kartā hai
mujhe ehsas hai ab bhi
us ek pal ka
jo meri zindagi ki ungliyon se is tarah nikla
ki jaise Dor hathon se nikal kar
ungliyon ko kaT jati hai
patangen raqs karti hain hawa ke dosh par
aur koi apni zaKHm-KHurda ungliyon ko
apne honTon mein dabae
zindagi ka zaiqa mahsus karta hai
patangon ki bajae
aasman ki wusaton mein daera mahsus karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.