doraha
jaag ai narm-nigāhī ke pur-asrār sukūt
aaj bīmār pe ye raat bahut bhārī hai
jo ḳhud apne hī salāsil meñ giraftār rahe
un ḳhudāoñ se mire ġham kī davā kyā hogī
sochte sochte thak jā.eñge niile sāgar
jāgte jāgte so jā.egā maddham ākāsh
is chhalaktī huī shabnam kā zarā sā qatra
kisī ma.asūm se ruḳhsār pe jam jā.egā
ek taarā nazar aa.egā kisī chilman meñ
ek aañsū kisī bistar pe bikhar jā.egā
haañ magar terā ye bīmār kidhar jā.egā
maiñ ne ik nazm meñ likkhā thā ki ai rūh-e-vafā
chārasāzī tire nāḳhun kī rahīn-e-minnat
ġham-gusārī tirī palkoñ kī rivāyāt meñ hai
ek chhoTī hī sī ummīd-e-tarab-zār sahī
ek jugnū kā ujālā mirī barsāt meñ hai
lazzat-e-āriz-o-lab sā.at-e-takmīl-e-visāl
merī taqdīr meñ hai aur tirī baat meñ hai
dair se, ka.abe se, idrāk se bhī uktā kar
aaj tak dil ko ujāle kī talab hotī hai
ek din aa.egā jab aur bhī uryāñ ho kar
aadmī jiine ko thoḌī sī ziyā māñgegā
giit ke, phuul ke, ash.ār ke, afsānoñ ke
aaj tak ham ne banā.e haiñ khilaune kitne
ye khilaune bhī na hote to hamārā bachpan
sochtā huuñ ki guzartā to guzartā kaise
aadmī ziist ke sailāb se laḌte laḌte
biich mañjdhār meñ aatā to ubhartā kaise
der se ruuh pe ik ḳhvāb-e-girāñ taarī hai
aaj bīmār pe ye raat bahut bhārī hai
aaj phir dosh-e-tamannā pe hai dil kā tābūt
jaag ai narm-nigāhī ke masīhāna sukūt
varna insān kī fitrat kā talavvun mat pūchh
is sin-o-sāl kā maġhrūr laḌakpan mat pūchh
aadmī terī is uftād se bad-dil ho kar
aur do-chār ḳhudāoñ ke alam pūjegā
aur ik roz is andāz se bhī uktā kar
apne be-nām ḳhayāloñ ke sanam pūjegā
jag ai narm-nigahi ke pur-asrar sukut
aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai
jo KHud apne hi salasil mein giraftar rahe
un KHudaon se mere gham ki dawa kya hogi
sochte sochte thak jaenge nile sagar
jagte jagte so jaega maddham aakash
is chhalakti hui shabnam ka zara sa qatra
kisi masum se ruKHsar pe jam jaega
ek tara nazar aaega kisi chilman mein
ek aansu kisi bistar pe bikhar jaega
han magar tera ye bimar kidhar jaega
main ne ek nazm mein likkha tha ki ai ruh-e-wafa
chaarasazi tere naKHun ki rahin-e-minnat
gham-gusari teri palkon ki riwayat mein hai
ek chhoTi hi si ummid-e-tarab-zar sahi
ek jugnu ka ujala meri barsat mein hai
lazzat-e-ariz-o-lab saat-e-takmil-e-visal
meri taqdir mein hai aur teri baat mein hai
dair se, kabe se, idrak se bhi ukta kar
aaj tak dil ko ujale ki talab hoti hai
ek din aaega jab aur bhi uryan ho kar
aadmi jine ko thoDi si ziya mangega
git ke, phul ke, ashaar ke, afsanon ke
aaj tak hum ne banae hain khilaune kitne
ye khilaune bhi na hote to hamara bachpan
sochta hun ki guzarta to guzarta kaise
aadmi zist ke sailab se laDte laDte
bich manjdhaar mein aata to ubharta kaise
der se ruh pe ek KHwab-e-giran tari hai
aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai
aaj phir dosh-e-tamanna pe hai dil ka tabut
jag ai narm-nigahi ke masihana sukut
warna insan ki fitrat ka talawwun mat puchh
is sin-o-sal ka maghrur laDakpan mat puchh
aadmi teri is uftad se bad-dil ho kar
aur do-chaar KHudaon ke alam pujega
aur ek roz is andaz se bhi ukta kar
apne be-nam KHayalon ke sanam pujega
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 45)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.