doraha
rail-gāḌī ye ghamsān ilāhī tauba
na muravvat na takalluf na tabassum na adā
yūñhī ik ġhair-shu.ūrī sī ḳhushūnat kā ḳharosh
be-irāda hai to kyā ġhair-shu.ūrī hai to kyā
ye na.e daur ke ehsās-e-ġhulāmī kā zuhūr
intiqāma tahakkum kī numūd
is meñ ik iz.hār-e-baġhāvat bhī to hai
yūñhī yūñhī sahī
ik shā.iba-e-dād-e-shujā.at bhī to hai
chaak to kartā huuñ maiñ apnā garebāñ hī sahī
kulbulātī huī maḳhlūq kī is daldal meñ
siina taane hue kuchh log baḌhe jaate haiñ
ḳhuub phunkārte phan phailā.e
log vo log nahīñ
jin ko Thukrāte hue jaate haiñ
ye log baḌe sāhab log
ye jo hukkām hamāre haiñ ye hukkām nahīñ
jo hameñ se haiñ magar ham meñ nahīñ
ye jo bandoñ ke haiñ aaqā magar aaqā ke ġhulām
bā-vafā huuñ to huuñ be-dām nahīñ
tū dost kisī kā bhī sitamgar na huā thā
un pe duniyā kī har ik raah kushāda hai magar
aaj ik sañg-e-garāñ haa.il hai
ki uThā.e na uThe aur hilā.e na hile
dūsre darje ke darvāze meñ
un ke āqāoñ kā ik fard farañgī gorā
bāheñ phailā.e hue rāsta roke hai khaḌā
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard afgan-e-ishq
sīTiyāñ bajne lagīñ ḳhidmat-e-sarkār bajā laanā hai
aur sarkār hī ḳhud sañg-e-rah-e-manzil hai
zindagī aa ga.ī dorāhe par
der kyuuñ karte ho bhāgo bhāgo
dauḌ kar third ke Darbe meñ ghuso
apne ham-jins ġhulāmoñ meñ milo
zindagī aa ga.ī dorāhe par
rail-gaDi ye ghamsan ilahi tauba
na murawwat na takalluf na tabassum na ada
yunhi ek ghair-shuuri si KHushunat ka KHarosh
be-irada hai to kya ghair-shuuri hai to kya
ye nae daur ke ehsas-e-ghulami ka zuhur
intiqama tahakkum ki numud
is mein ek izhaar-e-baghawat bhi to hai
yunhi yunhi sahi
ek shaiba-e-dad-e-shujaat bhi to hai
chaak to karta hun main apna gareban hi sahi
kulbulati hui maKHluq ki is daldal mein
sina tane hue kuchh log baDhe jate hain
KHub phunkarte phan phailae
log wo log nahin
jin ko Thukraate hue jate hain
ye log baDe sahab log
ye jo hukkaam hamare hain ye hukkaam nahin
jo hamein se hain magar hum mein nahin
ye jo bandon ke hain aaqa magar aaqa ke ghulam
ba-wafa hun to hun be-dam nahin
tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
un pe duniya ki har ek rah kushada hai magar
aaj ek sang-e-garan hail hai
ki uThae na uThe aur hilae na hile
dusre darje ke darwaze mein
un ke aaqaon ka ek fard farangi gora
bahen phailae hue rasta roke hai khaDa
kaun hota hai harif-e-mai-e-mard afgan-e-ishq
siTiyan bajne lagin KHidmat-e-sarkar baja lana hai
aur sarkar hi KHud sang-e-rah-e-manzil hai
zindagi aa gai dorahe par
der kyun karte ho bhago bhago
dauD kar third ke Darbe mein ghuso
apne ham-jins ghulamon mein milo
zindagi aa gai dorahe par
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 46)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.