doraha
(ḳhud-kalāmī)
tum jhuuT aur sach ke dorāhe par the
guzarte lamhoñ kī āvāz ne tum se pūchhā
kyā tum sach kī raah par chal sakte ho
tum chup hī rahe
guzarte lamhoñ kī āvāz ne tum se pūchhā
kyā tum jhuuT kī raah pe chal sakte ho
tum chup hī rahe
aur ''hāñ'' ke saare lamhe guzar ga.e
tum jānte ho ''hāñ'' kahne ke to saare lamhe guzar ga.e
ab jhuuT aur sach ke dorāhe par yuuñ khaḌe hue
''nahīñ'' ke lamhoñ ko be-kār gañvāte kyuuñ ho
(KHud-kalami)
tum jhuT aur sach ke dorahe par the
guzarte lamhon ki aawaz ne tum se puchha
kya tum sach ki rah par chal sakte ho
tum chup hi rahe
guzarte lamhon ki aawaz ne tum se puchha
kya tum jhuT ki rah pe chal sakte ho
tum chup hi rahe
aur han ke sare lamhe guzar gae
tum jaante ho han kahne ke to sare lamhe guzar gae
ab jhuT aur sach ke dorahe par yun khaDe hue
nahin ke lamhon ko be-kar ganwate kyun ho
- Book : namuud (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.