aaj ik kahānī meñ
ye paḌhā ki thā koī
be-panāh hasīñ laḌkā
jis ne ruuh ke badle
ḳhūb-sūratī māñgī
dā.imī javānī lā-fānī zindagī chāhī
aur paa.ī ne.amat ki
us ke jism ke badle
us kī ek ādam-qad painting hī būḌhī ho
us ke sab gunāhoñ kā
aks painting meñ ho
ḳhair chhoḌo jaane do vo faqat kahānī thī
yaar log kahte haiñ
vo bhī ḳhūbsūrat hai
aur ajar amar hai vo
ham sab us kī chhab hī haiñ
oh to kyā ḳhudā ne bhī
aaj ek kahani mein
ye paDha ki tha koi
be-panah hasin laDka
jis ne ruh ke badle
KHub-surati mangi
daimi jawani la-fani zindagi chahi
aur pai neamat ki
us ke jism ke badle
us ki ek aadam-qad painting hi buDhi ho
us ke sab gunahon ka
aks painting mein ho
KHair chhoDo jaane do wo faqat kahani thi
yar log kahte hain
wo bhi KHubsurat hai
aur ajar amar hai wo
hum sab us ki chhab hi hain
oh to kya KHuda ne bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.