doshiza malan
lo pau phaTī vo chhup ga.ī tāroñ kī anjuman
lo jām-e-mahr se vo chhalakne lagī kiran
khichne lagā nigāh meñ fitrat kā bāñkpan
jalve zamīñ pe barse zamīñ ban ga.ī dulhan
gūñje tarāne sub.h kā ik shor ho gayā
aalam mai-e-baqā meñ sharābor ho gayā
phūlī shafaq fazā meñ hinā tilmilā ga.ī
ik mauj-e-rañg kaañp ke aalam pe chhā ga.ī
kul chāñdnī simaT ke guloñ meñ samā ga.ī
zarre bane nujūm zamīñ jagmagā ga.ī
chhoḌā sahar ne tīrgi-e-shab ko kaaT ke
uḌne lagī havā meñ kiran os chaaT ke
machlī jabīn-e-sharq pe is tarah mauj-e-nūr
lahrā ke tairne lagī aalam meñ barq-e-tūr
uḌne lagī shamīm chhalakne lagā surūr
khilne lage shagūfe chahakne lage tuyūr
jhoñke chale havā ke shajar jhūmne lage
mastī meñ phuul kāñToñ kā muñh chūmne lage
tham tham ke zau-fishāñ huā zarroñ pe āftāb
chhiḌkā havā ne sabza-e-ḳhvābīda par gulāb
murjhā.ī pattiyoñ meñ machalne lagā shabāb
larzish huī guloñ ko barasne lagī sharāb
rindān-e-mast aur bhī sarmast ho ga.e
tharrā ke hoñT jaam meñ paivast ho ga.e
doshīza ek ḳhush-qad o ḳhush-rañg-o-ḳhūb-rū
mālan kī nūr-dīda gulistāñ kī aabrū
mahkā rahī hai phūloñ se dāmān-e-ārzū
tiflī liye hai god meñ tūfān-e-rañg-o-bū
rañgīniyoñ meñ khelī guloñ meñ palī huī
nauras kalī meñ qaus-e-quzah hai Dhalī huī
mastī meñ ruḳh pe baal pareshāñ kiye hue
bādal meñ sham-e-tūr farozāñ kiye hue
har samt naqsh-e-pā se charāġhāñ kiye hue
āñchal ko bār-e-gul se gulistāñ kiye hue
lahrā rahī hai bād-e-sahar paañv chuum ke
phirtī hai tītarī sī ġhazab jhuum jhuum ke
zulfoñ meñ tāb-e-sumbul-e-pechāñ liye hue
aariz meñ shoḳh rañg-e-gulistāñ liye hue
āñkhoñ meñ rūh-e-bāda-e-irfāñ liye hue
hoñToñ meñ āb-e-la.al-e-badaḳhshāñ liye hue
fitrat ne tol tol ke chashm-e-qubūl meñ
saarā chaman nichoḌ diyā ek phuul meñ
ai hūr-e-bāġh itnī ḳhudī se na kaam le
uḌ kar shamīm-e-gul kahīñ āñchal na thaam le
kaliyoñ kā le payām sahar kā salām le
'kaifī' se husn-e-dost kā taaza kalām le
shā.er kā dil hai muft meñ kyuuñ dard-mañd ho
ik gul idhar bhī nazm agar ye pasand ho
lo pau phaTi wo chhup gai taron ki anjuman
lo jam-e-mahr se wo chhalakne lagi kiran
khichne laga nigah mein fitrat ka bankpan
jalwe zamin pe barse zamin ban gai dulhan
gunje tarane subh ka ek shor ho gaya
aalam mai-e-baqa mein sharabor ho gaya
phuli shafaq faza mein hina tilmila gai
ek mauj-e-rang kanp ke aalam pe chha gai
kul chandni simaT ke gulon mein sama gai
zarre bane nujum zamin jagmaga gai
chhoDa sahar ne tirgi-e-shab ko kaT ke
uDne lagi hawa mein kiran os chaT ke
machli jabin-e-sharq pe is tarah mauj-e-nur
lahra ke tairne lagi aalam mein barq-e-tur
uDne lagi shamim chhalakne laga surur
khilne lage shagufe chahakne lage tuyur
jhonke chale hawa ke shajar jhumne lage
masti mein phul kanTon ka munh chumne lage
tham tham ke zau-fishan hua zarron pe aaftab
chhiDka hawa ne sabza-e-KHwabida par gulab
murjhai pattiyon mein machalne laga shabab
larzish hui gulon ko barasne lagi sharab
rindan-e-mast aur bhi sarmast ho gae
tharra ke honT jam mein paiwast ho gae
doshiza ek KHush-qad o KHush-rang-o-KHub-ru
malan ki nur-dida gulistan ki aabru
mahka rahi hai phulon se daman-e-arzu
tifli liye hai god mein tufan-e-rang-o-bu
ranginiyon mein kheli gulon mein pali hui
nauras kali mein qaus-e-quzah hai Dhali hui
masti mein ruKH pe baal pareshan kiye hue
baadal mein sham-e-tur farozan kiye hue
har samt naqsh-e-pa se charaghan kiye hue
aanchal ko bar-e-gul se gulistan kiye hue
lahra rahi hai baad-e-sahar panw chum ke
phirti hai titari si ghazab jhum jhum ke
zulfon mein tab-e-sumbul-e-pechan liye hue
aariz mein shoKH rang-e-gulistan liye hue
aankhon mein ruh-e-baada-e-irfan liye hue
honTon mein aab-e-lal-e-badaKHshan liye hue
fitrat ne tol tol ke chashm-e-qubul mein
sara chaman nichoD diya ek phul mein
ai hur-e-bagh itni KHudi se na kaam le
uD kar shamim-e-gul kahin aanchal na tham le
kaliyon ka le payam sahar ka salam le
'kaifi' se husn-e-dost ka taza kalam le
shaer ka dil hai muft mein kyun dard-mand ho
ek gul idhar bhi nazm agar ye pasand ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.