dost sach much bahut zaruri hain
zindagī ko guzārne ke liye
vaqt kā zahr mārne ke liye
apnā ġhussa utārne ke liye
phone par shab guzārne ke liye
dost sach much bahut zarūrī haiñ
dil ke chhāloñ ko phoḌne ke liye
barf udāsī kī toḌne ke liye
ruḳh havāoñ kā moḌne ke liye
dil ke TukḌoñ ko joḌne ke liye
dost sach much bahut zarūrī haiñ
ham ne maanā ki dard dete haiñ
raah meñ saath chhoḌ dete haiñ
aas kī Dor toḌ dete haiñ
taar dil ke jhiñjhoḌ dete haiñ
phir bhī mujh jaise aadmī ke liye
kūcha-e-jāñ meñ raushnī ke liye
ibn-e-ādam kī behtarī ke liye
dost sach much bahut zarūrī haiñ
zindagi ko guzarne ke liye
waqt ka zahr marne ke liye
apna ghussa utarne ke liye
phone par shab guzarne ke liye
dost sach much bahut zaruri hain
dil ke chhaalon ko phoDne ke liye
barf udasi ki toDne ke liye
ruKH hawaon ka moDne ke liye
dil ke TukDon ko joDne ke liye
dost sach much bahut zaruri hain
hum ne mana ki dard dete hain
rah mein sath chhoD dete hain
aas ki Dor toD dete hain
tar dil ke jhinjhoD dete hain
phir bhi mujh jaise aadmi ke liye
kucha-e-jaan mein raushni ke liye
ibn-e-adam ki behtari ke liye
dost sach much bahut zaruri hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.