dost
us se jab kahtā huuñ maiñ
merā ek
nanhā-munnā dost hai
pūchhtā hai kaun hai
sāmne kī daañt us ke
aaTh
sab shaffāf motī
mish.aleñ
us kī sharīr par āñkhoñ meñ raushan
lab pe us ke
nit-na.e taaza hasīñ alfāz
shā.ir avvalīñ shā.ir
tilsmātī zabāñ kā avvalīñ shā.ir
vo sheroñ hāthiyoñ genDoñ
sunahrī battaḳhoñ kī bandaroñ kī hamd gaatā hai
khilaunā gāḌiyoñ meñ
shahar kī masrūf saḌkoñ par
mujhe aur maañ ko ammī aur abbā ko ghumātā hai
mirī bātoñ pe merā nanhā-munnā dost hañstā chachahātā hai
maiñ nanhā dost huuñ
maiñ hī vo nanhā dost huuñ
maiñ dost huuñ
maiñ dost huuñ
maiñ pūchhtā huuñ merā nanhā dost
mujh se pyaar kartā hai to kitnā pyaar kartā hai
vo baazū kholtā hai aur zamīn-o-āsmāñ
un meñ chhupā kar mujh se kahtā hai
bahut kartā huuñ itnā Dher sā itnā bahut kartā huuñ
ghoḌā ruk gayā
merā kabūtar uḌ gayā
chiḌiyā jo daana khā ga.ī
vo maiñ bhī khā.ūñgā
gilahrī so na jaa.e aur bandar
un ko maiñ biscuit khilā.uñgā
mujhe totā dikhāo
sabz choñch aur surḳh totā
rīchh kuttā bheḌiyā billī kā bachcha
un kī tasvīreñ kahāñ haiñ
aaj un ke paas jā.uñgā
unheñ maiñ un kī tasvīreñ dikhā.ūñgā
us se jab kahta hun main
mera ek
nanha-munna dost hai
puchhta hai kaun hai
samne ki dant us ke
aaTh
sab shaffaf moti
mishalen
us ki sharir par aankhon mein raushan
lab pe us ke
nit-nae taza hasin alfaz
shair awwalin shair
tilsmati zaban ka awwalin shair
wo sheron hathiyon genDon
sunahri battaKHon ki bandaron ki hamd gata hai
khilauna gaDiyon mein
shahar ki masruf saDkon par
mujhe aur man ko ammi aur abba ko ghumata hai
meri baaton pe mera nanha-munna dost hansta chachahata hai
main nanha dost hun
main hi wo nanha dost hun
main dost hun
main dost hun
main puchhta hun mera nanha dost
mujh se pyar karta hai to kitna pyar karta hai
wo bazu kholta hai aur zamin-o-asman
un mein chhupa kar mujh se kahta hai
bahut karta hun itna Dher sa itna bahut karta hun
ghoDa ruk gaya
mera kabutar uD gaya
chiDiya jo dana kha gai
wo main bhi khaunga
gilahri so na jae aur bandar
un ko main biscuit khilaunga
mujhe tota dikhao
sabz chonch aur surKH tota
richh kutta bheDiya billi ka bachcha
un ki taswiren kahan hain
aaj un ke pas jaunga
unhen main un ki taswiren dikhaunga
- Book : Lambi Barish (Pg. 161)
- Author : 2002
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.