Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosti ka hath

Ali Sardar Jafri

dosti ka hath

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    Interesting Fact

    In response to Ahmad Faraz's nazm on Indo- Pak strained relations (chalo main haath baDhaata hun dosti ke liye)

    tumhārā haath baḌhā hai jo dostī ke liye

    mire liye hai vo ik yār-e-ġham-gusār haath

    vo haath shāḳh-e-gul-e-gulshan-e-tamannā hai

    mahak rahā hai mire haath meñ bahār haath

    ḳhudā kare ki salāmat raheñ ye haath apne

    atā hue haiñ jo zulfeñ sañvārne ke liye

    zamīñ se naqsh miTāne ko zulm o nafrat

    falak se chāñd sitāre utārne ke liye

    zamīn-e-pāk hamāre jigar TukḌā hai

    hameñ aziiz hai dehlī o lucknow tarah

    tumhāre lahje meñ merī navā lahja hai

    tumhārā dil hai hasīñ merī aarzū tarah

    kareñ ye ahd ki auzār-e-jañg jitne haiñ

    unheñ miTānā hai aur ḳhaak meñ milānā hai

    kareñ ye ahd ki arbāb-e-jañg haiñ jitne

    unheñ sharāfat o insāniyat sikhānā hai

    ji.eñ tamām hasīnān-e-ḳhaibar-o-lahore

    ji.eñ tamām javānān-e-jannat-e-kashmīr

    ho lab pe naġhma-e-mahr-o-vafā tābānī

    kitāb-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrīr

    tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh

    ham aa.eñ subh-e-banāras raushnī le kar

    himāliya havāoñ tāzgī le kar

    phir is ke ba.ad ye pūchheñ ki kaun dushman hai

    tumhaara hath baDha hai jo dosti ke liye

    mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath

    wo hath shaKH-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai

    mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath

    KHuda kare ki salamat rahen ye hath apne

    ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye

    zamin se naqsh miTane ko zulm o nafrat ka

    falak se chand sitare utarne ke liye

    zamin-e-pak hamare jigar ka TukDa hai

    hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah

    tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai

    tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah

    karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain

    unhen miTana hai aur KHak mein milana hai

    karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne

    unhen sharafat o insaniyat sikhana hai

    jien tamam hasinan-e-KHaibar-o-lahore

    jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir

    ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani

    kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir

    tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh

    hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar

    himaliya ki hawaon ki tazgi le kar

    phir is ke baad ye puchhen ki kaun dushman hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri(Vol-2) (Pg. 530)
    • Author : Ali Ahmad Fatma
    • Publication : Qaumi Council Barai Farog Urdu Zaban New Delhi (1927-2005)
    • Edition : 1927-2005

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now