yahāñ sūraj chamaktā hai
nadī ke saaf paanī meñ
havā mastāna phirtī hai yahāñ
apnī ravānī meñ
magar din-bhar maiñ gum rahtā huuñ
ḳhvāb-e-saḳht-jānī meñ
sitāre
phir sar-e-shām is fazā meñ tum ubharte ho
mirī har shāḳh meñ
āsūdgī kī sham.a jaltī hai
mire har barg se
maujūdgī kī lau nikaltī hai
yahan suraj chamakta hai
nadi ke saf pani mein
hawa mastana phirti hai yahan
apni rawani mein
magar din-bhar main gum rahta hun
KHwab-e-saKHt-jaani mein
sitare
phir sar-e-sham is faza mein tum ubharte ho
meri har shaKH mein
aasudgi ki shama jalti hai
mere har barg se
maujudgi ki lau nikalti hai
- Book : meyaar (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.