doston se kah do
ham ḳhvāb nahīñ dekh sakte
hamāre ghar ke qarīb
koī nahr nahīñ bahtī
aur na hī
kisī park meñ
sañgī nashist
hamāre naam se mansūb hai
hamārī taraf
aane vaale kisī rāste par
koī daraḳht nahīñ lagāyā gayā
niilā āsmān
ham se bahut duur hai
aur sitāre
sirf hamārī āñkhoñ meñ chamakte haiñ
dostoñ se kah do
ham hālat-e-jañg meñ
āsmān se girā.e ga.e khilaune haiñ
koī ham se mat khele
hum KHwab nahin dekh sakte
hamare ghar ke qarib
koi nahr nahin bahti
aur na hi
kisi park mein
sangi nashist
hamare nam se mansub hai
hamari taraf
aane wale kisi raste par
koi daraKHt nahin lagaya gaya
nila aasman
hum se bahut dur hai
aur sitare
sirf hamari aankhon mein chamakte hain
doston se kah do
hum haalat-e-jang mein
aasman se girae gae khilaune hain
koi hum se mat khele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.