dua
raat jī khol ke phir maiñ ne du'ā māñgī hai
aur ik chiiz baḌī besh-bahā māñgī hai
aur vo chiiz na daulat na makāñ hai na mahal
taaj māñgā hai na dastār-o-qabā māñgī hai
na to qadmoñ ke tale farsh-e-guhar māñgā hai
aur na sar par kulah-e-bāl-e-humā māñgī hai
na sharīk-e-safar-o-zād-e-safar māñgā hai
na sadā-e-jaras-o-bāñg-e-darā māñgī hai
na sikandar kī tarah fat.h kā parcham māñgā
aur na mānind-e-ḳhizar ‘umr-e-baqā māñgī hai
na koī 'ohda na kursī na laqab māñgā hai
na kisī ḳhidmat-e-qaumī kī jazā māñgī hai
na to mehmān-e-ḳhusūsī kā sharaf māñgā hai
aur na mahfil meñ kahīñ sadr kī jā māñgī hai
mai-kada māñgā na saaqī na gulistāñ na bahār
jām-o-sāġhar na mai-e-hosh-rubā māñgī hai
na to manzar koī shādāb-o-hasīñ māñgā hai
na sehat-baḳhsh koī āb-o-havā māñgī hai
mahfil-e-‘aish na sāmān-e-tarab māñgā hai
chāñdnī raat na ghanghor ghaTā māñgī hai
bāñsurī māñgī na tā.ūs na barbat na rabāb
na koī mutriba-e-shīrīñ-navā māñgī hai
chain kī niiñd na ārām kā pahlū māñgā
baḳht-e-be-dār na taqdīr-e-rasā māñgī hai
na to ashkoñ kī farāvānī se māñgī hai najāt
aur na apne maraz-e-dil kī shifā māñgī hai
na ġhazal ke liye āhang nayā māñgā hai
na tarannum kī na.ī tarz-e-adā māñgī hai
sun ke hairān hue jaate haiñ arbāb-e-chaman
āḳhirash kaun sī pāgal ne du'ā māñgī hai
aa tire kaan meñ kah duuñ ai nasīm-e-saharī
sab se pyārī mujhe kyā chiiz hai kyā māñgī hai
vo sarāpā-e-sitam jis kā maiñ dīvāna huuñ
us kī zulfoñ ke liye bū-e-vafā māñgī hai
raat ji khol ke phir main ne du'a mangi hai
aur ek chiz baDi besh-baha mangi hai
aur wo chiz na daulat na makan hai na mahal
taj manga hai na dastar-o-qaba mangi hai
na to qadmon ke tale farsh-e-guhar manga hai
aur na sar par kulah-e-baal-e-huma mangi hai
na sharik-e-safar-o-zad-e-safar manga hai
na sada-e-jaras-o-bang-e-dara mangi hai
na sikandar ki tarah fath ka parcham manga
aur na manind-e-KHizar ‘umr-e-baqa mangi hai
na koi 'ohda na kursi na laqab manga hai
na kisi KHidmat-e-qaumi ki jaza mangi hai
na to mehman-e-KHususi ka sharaf manga hai
aur na mahfil mein kahin sadr ki ja mangi hai
mai-kada manga na saqi na gulistan na bahaar
jam-o-saghar na mai-e-hosh-ruba mangi hai
na to manzar koi shadab-o-hasin manga hai
na sehat-baKHsh koi aab-o-hawa mangi hai
mahfil-e-‘aish na saman-e-tarab manga hai
chandni raat na ghanghor ghaTa mangi hai
bansuri mangi na taus na barbat na rabab
na koi mutriba-e-shirin-nawa mangi hai
chain ki nind na aaram ka pahlu manga
baKHt-e-be-dar na taqdir-e-rasa mangi hai
na to ashkon ki farawani se mangi hai najat
aur na apne maraz-e-dil ki shifa mangi hai
na ghazal ke liye aahang naya manga hai
na tarannum ki nai tarz-e-ada mangi hai
sun ke hairan hue jate hain arbab-e-chaman
aaKHirash kaun si pagal ne du'a mangi hai
aa tere kan mein kah dun ai nasim-e-sahari
sab se pyari mujhe kya chiz hai kya mangi hai
wo sarapa-e-sitam jis ka main diwana hun
us ki zulfon ke liye bu-e-wafa mangi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.