dua
sabz pattoñ pe ab gard jamne lagī
rāste zaat ke dhuul meñ aT ga.e
jaan par shāḳh-dar-shāḳh tah ret kī jam ga.ī
dard kī shāh-rāhoñ pe miTTī kī dīvār sī chun ga.ī
tah-ba-tah
zaḳhm par gard hī gard hai
dil ulajhne lagā
zaḳhm bujhne lagā
ruuh tak ret meñ dhañs ga.ī
aañkh ke dasht meñ dhuul hī dhuul
ab to ho rahmatoñ kā nuzūl
mere rabb-e-jalīl
ek qatra sahī
gard kuchh to chhaTe
aañkh ke rāste
ruuh ke vāste
sabz patton pe ab gard jamne lagi
raste zat ke dhul mein aT gae
jaan par shaKH-dar-shaKH tah ret ki jam gai
dard ki shah-rahon pe miTTi ki diwar si chun gai
tah-ba-tah
zaKHm par gard hi gard hai
dil ulajhne laga
zaKHm bujhne laga
ruh tak ret mein dhans gai
aankh ke dasht mein dhul hi dhul
ab to ho rahmaton ka nuzul
mere rabb-e-jalil
ek qatra sahi
gard kuchh to chhaTe
aankh ke raste
ruh ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.