aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    aa.iye haath uThā.eñ ham bhī

    ham jinheñ rasm-e-duā yaad nahīñ

    ham jinheñ soz-e-mohabbat ke sivā

    koī but koī ḳhudā yaad nahīñ

    Prayer

    We, who have forgotten how to pray,

    we, who have forgotten our idols, our gods,

    we, who only remember our sears of love—

    let's come together, let's too lift our hands to pray.

    aa.iye arz guzāreñ ki nigār-e-hastī

    zahr-e-imroz meñ shīrīni-e-fardā bhar de

    vo jinheñ tāb-e-girāñ-bārī-e-ayyām nahīñ

    un palkoñ pe shab o roz ko halkā kar de

    Let's pray that life, our beloved,

    may pour tomorrow's honey in today's poison;

    let's pray their nights and days

    may turn smooth, who find them tough;

    let's pray their dark nights

    may lit up bright, who cannot see the dawn's face;

    let's pray that they

    may find their ways who have none;

    let's pray that those who practice deceit and hypocrisy

    may get courage to deny, resolution to believe;

    let's pray that those whose heads wait for swords of tyranny

    may have the nerve to fend off the assassin's hands.

    Let's make a covenant today with our fevered souls,

    the subterranean secret of love,

    let's slake its fever.

    Let's own the word of Truth

    which pricks the heart like a thorn.

    Let's end our anguish.

    jin āñkhoñ ko ruḳh-e-sub.h yaarā bhī nahīñ

    un rātoñ meñ koī sham.a munavvar kar de

    jin ke qadmoñ ko kisī rah sahārā bhī nahīñ

    un nazroñ pe koī raah ujāgar kar de

    jin diiñ pairvi-e-kizb-o-riyā hai un ko

    himmat-e-kufr mile jur.at-e-tahqīq mile

    jin ke sar muntazir-e-teġh-e-jafā haiñ un ko

    dast-e-qātil ko jhaTak dene taufīq mile

    ishq sirr-e-nihāñ jān-e-tapāñ hai jis se

    aaj iqrār kareñ aur tapish miT jaa.e

    harf-e-haq dil meñ khaTaktā hai jo kāñTe tarah

    aaj iz.hār kareñ aur ḳhalish miT jaa.e

    aaiye hath uThaen hum bhi

    hum jinhen rasm-e-dua yaad nahin

    hum jinhen soz-e-mohabbat ke siwa

    koi but koi KHuda yaad nahin

    Prayer

    We, who have forgotten how to pray,

    we, who have forgotten our idols, our gods,

    we, who only remember our sears of love—

    let's come together, let's too lift our hands to pray.

    aaiye arz guzaren ki nigar-e-hasti

    zahr-e-imroz mein shirini-e-farda bhar de

    wo jinhen tab-e-giran-bari-e-ayyam nahin

    un ki palkon pe shab o roz ko halka kar de

    Let's pray that life, our beloved,

    may pour tomorrow's honey in today's poison;

    let's pray their nights and days

    may turn smooth, who find them tough;

    let's pray their dark nights

    may lit up bright, who cannot see the dawn's face;

    let's pray that they

    may find their ways who have none;

    let's pray that those who practice deceit and hypocrisy

    may get courage to deny, resolution to believe;

    let's pray that those whose heads wait for swords of tyranny

    may have the nerve to fend off the assassin's hands.

    Let's make a covenant today with our fevered souls,

    the subterranean secret of love,

    let's slake its fever.

    Let's own the word of Truth

    which pricks the heart like a thorn.

    Let's end our anguish.

    jin ki aankhon ko ruKH-e-subh ka yara bhi nahin

    un ki raaton mein koi shama munawwar kar de

    jin ke qadmon ko kisi rah ka sahaara bhi nahin

    un ki nazron pe koi rah ujagar kar de

    jin ka din pairwi-e-kizb-o-riya hai un ko

    himmat-e-kufr mile jurat-e-tahqiq mile

    jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa hain un ko

    dast-e-qatil ko jhaTak dene ki taufiq mile

    ishq ka sirr-e-nihan jaan-e-tapan hai jis se

    aaj iqrar karen aur tapish miT jae

    harf-e-haq dil mein khaTakta hai jo kanTe ki tarah

    aaj izhaar karen aur KHalish miT jae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano

    Zehra Nigaah

    Zehra Nigaah

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    RECITATIONS

    Hamida Bano

    Hamida Bano,

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz,

    Hamida Bano

    dua Hamida Bano

    Faiz Ahmad Faiz

    dua Faiz Ahmad Faiz

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 431)

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 429)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now