dua
mujhe tū muzhda-e-kaifiyyat-e-davāmī de
mire ḳhudā mujhe e.azāz-e-nā-tamāmī de
maiñ tere chashma-e-rahmat se kaam kaam rahūñ
kabhī kabhī mujhe ehsās-e-tishna-kāmī de
mujhe kisī bhī muazzaz kā ham-rikāb na kar
maiñ ḳhud kamā.ūñ jise bas vo nek-nāmī de
vo log jo ka.ī sadiyoñ se haiñ nasheb-nashīñ
buland huuñ to mujhe bhī buland-bāmī de
tirī zamīn ye tere chaman raheñ ābād
jo dasht-e-dil hai use bhī tū lāla-fāmī de
baḌā surūr sahī tujh se ham-kalāmī meñ
bas ek baar magar zauq-e-ḳhud-kalāmī de
maiñ dostoñ kī tarah ḳhaak uḌā nahīñ saktā
maiñ gard-e-rāh sahī mujh ko narm-gāmī de
agar girūñ to kuchh is tarah sar buland girūñ
ki maar kar mirā dushman mujhe salāmī de
mujhe tu muzhda-e-kaifiyyat-e-dawami de
mere KHuda mujhe eazaz-e-na-tamami de
main tere chashma-e-rahmat se kaam kaam rahun
kabhi kabhi mujhe ehsas-e-tishna-kaami de
mujhe kisi bhi muazzaz ka ham-rikab na kar
main KHud kamaun jise bas wo nek-nami de
wo log jo kai sadiyon se hain nasheb-nashin
buland hun to mujhe bhi buland-baami de
teri zamin ye tere chaman rahen aabaad
jo dasht-e-dil hai use bhi tu lala-fami de
baDa surur sahi tujh se ham-kalami mein
bas ek bar magar zauq-e-KHud-kalami de
main doston ki tarah KHak uDa nahin sakta
main gard-e-rah sahi mujh ko narm-gami de
agar girun to kuchh is tarah sar buland girun
ki mar kar mera dushman mujhe salami de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.