Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua

MORE BYAhmaq Phaphoondvi

    ḳhudā ham ko ādmiyat de

    mulk aur qaum mohabbat de

    kar atā is qadar tamīz hameñ

    ki ho apnā vatan aziiz hameñ

    is ḳhidmat ko faḳhr jāneñ ham

    is har baat dil se māneñ ham

    phuuT aur iftirāq kho deñ ham

    paap naav ko Dubo deñ ham

    hasad-o-kīna o ḳhusūmat o shar

    kar deñ in meñ se sab ko mulk-badar

    ek ho jaa.eñ sab ḳhavās o avaam

    na rahe ġhairiyat mulk haiñ naam

    sulh o amn-o-amāñ ho chaar taraf

    āfiyat hukmarāñ ho chaar taraf

    ittihād-e-amal se hoñ sab kaam

    koī daanā rahe na banda-ए-dām

    mulk ho ġhair ke asar se paak

    ḳhirman-e-jaur-o-ma.asiyat ho ḳhaak

    ho ye vīrāna ġhairat-e-gulzār

    phir se aa.e vatan meñ taaza bahār

    paTTā utre gale se la.anat

    ḳhatm ho daur faqr o zillat

    ya KHuda hum ko aadmiyat de

    mulk aur qaum ki mohabbat de

    kar ata is qadar tamiz hamein

    ki ho apna watan aziz hamein

    is ki KHidmat ko faKHr jaanen hum

    is ki har baat dil se manen hum

    phuT aur iftiraq kho den hum

    pap ki naw ko Dubo den hum

    hasad-o-kina o KHusumat o shar

    kar den in mein se sab ko mulk-badar

    ek ho jaen sab KHawas o awam

    na rahe ghairiyat ka mulk hain nam

    sulh o amn-o-aman ho chaar taraf

    aafiyat hukmaran ho chaar taraf

    ittihad-e-amal se hon sab kaam

    koi dana rahe na banda-ए-dam

    mulk ho ghair ke asar se pak

    KHirman-e-jaur-o-masiyat ho KHak

    ho ye virana ghairat-e-gulzar

    phir se aae watan mein taza bahaar

    paTTa utre gale se lanat ka

    KHatm ho daur faqr o zillat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now