dua
ai ḳhudā sham-e-mohabbat ko farozāñ kar de
dāġh-e-dil ko mire sad-rashk-e-gulistāñ kar de
jin kī rāhat ko hai ḳhāmoshī-e-sāhil kī talāsh
un kī himmat ko phir āvāra-e-tūfāñ kar de
jin kā dil DhūñDhtā hai gosha-e-ḳhalvat kā sukūñ
sūrat-e-nik.hat-e-gul un ko pareshāñ kar de
duur uftāda-e-manzil ko vo himmat mil jaa.e
jo har ik marhala-e-shauq ko āsāñ kar de
dil-e-murda ko ho vo jazba-e-betāb atā
maraz-e-pastī-e-millat kā jo darmāñ kar de
rau meñ ye mauja-e-bātil kī bahā jaatā hai
fazl se apne musalmāñ ko musalmāñ kar de
ai KHuda sham-e-mohabbat ko farozan kar de
dagh-e-dil ko mere sad-rashk-e-gulistan kar de
jin ki rahat ko hai KHamoshi-e-sahil ki talash
un ki himmat ko phir aawara-e-tufan kar de
jin ka dil DhunDhta hai gosha-e-KHalwat ka sukun
surat-e-nikhat-e-gul un ko pareshan kar de
dur uftada-e-manzil ko wo himmat mil jae
jo har ek marhala-e-shauq ko aasan kar de
dil-e-murda ko ho wo jazba-e-betab ata
maraz-e-pasti-e-millat ka jo darman kar de
rau mein ye mauja-e-baatil ki baha jata hai
fazl se apne musalman ko musalman kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.