dua
ai sansār banāne vaale
sūraj ko chamkāne vaale
ḳhaak se phuul ugāne vaale
dariyāoñ ko bahāne vaale
mere ḳhāliq mere aaqā
hañstā hañstā chāñd nikālā
ThanDī ThanDī kirnoñ vaalā
kartā hai rātoñ ko ujālā
tū ne baḳhshā is ko ujālā
mere ḳhāliq mere aaqā
maañ kī mohabbat baap kā saaya
maiñ ne tere karam se paayā
bhaa.ī bahan kā pyaar dikhāyā
kaisā achchhā rishta banāyā
mere ḳhāliq mere aaqā
achchhā laḌkā mujh ko banānā
sīdhe raste mujh ko chalānā
jis ne kahā hai terā maanā
sab ne us ko achchhā jaanā
mere ḳhāliq mere aaqā
tujh ko pūjūñ tujh ko jānūñ
hukm tirā ḳhush ho kar mānūñ
aql vo de tujh ko pahchānūñ
gumrāhī kī ḳhaak na chhānūñ
mere ḳhāliq mere aaqā
ai sansar banane wale
suraj ko chamkane wale
KHak se phul ugane wale
dariyaon ko bahane wale
mere KHaliq mere aaqa
hansta hansta chand nikala
ThanDi ThanDi kirnon wala
karta hai raaton ko ujala
tu ne baKHsha is ko ujala
mere KHaliq mere aaqa
man ki mohabbat bap ka saya
main ne tere karam se paya
bhai bahan ka pyar dikhaya
kaisa achchha rishta banaya
mere KHaliq mere aaqa
achchha laDka mujh ko banana
sidhe raste mujh ko chalana
jis ne kaha hai tera mana
sab ne us ko achchha jaana
mere KHaliq mere aaqa
tujh ko pujun tujh ko jaanun
hukm tera KHush ho kar manun
aql wo de tujh ko pahchanun
gumrahi ki KHak na chhanun
mere KHaliq mere aaqa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.