dua
an-ginat shamsī-nizāmoñ ke bakheḌoñ se agar
ik zarā fursat mile to
merī āñkhoñ kī namīda kor par ashk-e-nadāmat kī taraf bhī dekh lenā
jhilmilātā ik sitāra jaise istiġhfār kā koī vazīfa
ye zamīñ
terī maḳhlūqāt kā adnā sā zarra
aur is zarre kā maiñ juzv-e-haqīr
merā hissa nabz-e-ma.ānī kī ḳhush-āhañgī meñ lafzoñ ko nachānā
apne hī ham-shakl jarsūmoñ kī phailā.ī huī bīmāriyoñ ke
x-ray photo mire alfāz
ġhair duniyā ġhair is kā tajraba
lafz ġhair āhañg ġhair
phir bhī mere kaan meñ phūñkā kisī ne
jo bhī kuchh maiñ kar rahā huuñ
jo bhī kuchh maiñ likh rahā huuñ
vo merī taḳhlīq hai
maiñ bhī apne aap meñ taḳhlīq-kār
aur ye shaitān phūñk
mere sar meñ chaḌh ga.ī
maiñ ne apnī ruuh ko
pāniyoñ par chhe dinoñ tak be-takāñ jumbish meñ paayā
lafz-e-kun kā vird kar ke aañkh jab kholī to dekhā
ye zamīñ ye āsmāñ
raushnī paanī fazā ḳhushkī daraḳht
chāñd sūraj kahkashāñ haivān jin insāñ malak
ek coras ban ga.e haiñ
aur mujh par hañs rahe haiñ
mere aage pīchhe sharr-e-mā-ḳhalaq hai
ai tulū-e-sub.h ke rab
ik zarā fursat mile to
merī is gum-sum anā ko
apne sūraj kī zarā sī raushnī aur aañch de denā
aur kah denā mirī maḳhlūq jā merī nishānī ban
mujh se apnī ruuh ke
yā ruuh se mere guzarne kī kahānī ban
an-ginat shamsi-nizamon ke bakheDon se agar
ek zara fursat mile to
meri aankhon ki namida kor par ashk-e-nadamat ki taraf bhi dekh lena
jhilmilata ek sitara jaise istighfar ka koi wazifa
ye zamin
teri maKHluqat ka adna sa zarra
aur is zarre ka main juzw-e-haqir
mera hissa nabz-e-maani ki KHush-ahangi mein lafzon ko nachana
apne hi ham-shakl jarsumon ki phailai hui bimariyon ke
x-ray photo mere alfaz
ghair duniya ghair is ka tajraba
lafz ghair aahang ghair
phir bhi mere kan mein phunka kisi ne
jo bhi kuchh main kar raha hun
jo bhi kuchh main likh raha hun
wo meri taKHliq hai
main bhi apne aap mein taKHliq-kar
aur ye shaitan phunk
mere sar mein chaDh gai
main ne apni ruh ko
paniyon par chhe dinon tak be-takan jumbish mein paya
lafz-e-kun ka wird kar ke aankh jab kholi to dekha
ye zamin ye aasman
raushni pani faza KHushki daraKHt
chand suraj kahkashan haiwan jin insan malak
ek coras ban gae hain
aur mujh par hans rahe hain
mere aage pichhe sharr-e-ma-KHalaq hai
ai tulu-e-subh ke rab
ek zara fursat mile to
meri is gum-sum ana ko
apne suraj ki zara si raushni aur aanch de dena
aur kah dena meri maKHluq ja meri nishani ban
mujh se apni ruh ke
ya ruh se mere guzarne ki kahani ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.