dua
byāz-e-shab-o-roz par dastaḳhat tere qadmoñ ke hoñ
badan ke pasīne se qarnoñ ke aurāq mahkeñ
sabā tere raste se kañkar haTā.e
falak par garajtā huā garm bādal
tire tan kī qaus-e-quzah kā
laraztā damaktā huā koī manzar dikhā.e
tujhe har qadam par mileñ manzileñ
havā ke ek bārīk se tez chābuk kī sūrat
tirī band muTThī meñ dubkī rahe
sadā tujh ko hairat se dekhe zamāna
to bahte hue tez dhāroñ kī manzil bane
bādbāñ saare terī hī jānib khuleñ
aur ufuq kī muñDeroñ pe koḌoñ ko lambī qatāreñ
tirī muntazir huuñ
agar maiñ zamīñ ke siyah tañg pātāl meñ gir bhī jā.ūñ to kyā hai
tujhe to zamīñ kore kāġhaz kī sūrat mile
byāz-e-shab-o-roz par dastaḳhat tere qadmoñ ke hoñ
chahakte hue tīnoñ naT-khaT zamāne
tire gurū nācheñ
to bansī kī tānoñ se har shai ko pāgal kare nazr-e-ātish kare
toḌ Daale
magar ḳhud na TuuTe
kabhī to na TuuTe
byaz-e-shab-o-roz par dastaKHat tere qadmon ke hon
badan ke pasine se qarnon ke auraq mahken
saba tere raste se kankar haTae
falak par garajta hua garm baadal
tere tan ki qaus-e-quzah ka
larazta damakta hua koi manzar dikhae
tujhe har qadam par milen manzilen
hawa ke ek barik se tez chabuk ki surat
teri band muTThi mein dubki rahe
sada tujh ko hairat se dekhe zamana
to bahte hue tez dhaaron ki manzil bane
baadban sare teri hi jaanib khulen
aur ufuq ki munDeron pe koDon ko lambi qataren
teri muntazir hun
agar main zamin ke siyah tang patal mein gir bhi jaun to kya hai
tujhe to zamin kore kaghaz ki surat mile
byaz-e-shab-o-roz par dastaKHat tere qadmon ke hon
chahakte hue tinon naT-khaT zamane
tere guru nachen
to bansi ki tanon se har shai ko pagal kare nazr-e-atish kare
toD Dale
magar KHud na TuTe
kabhi to na TuTe
- Book : Nirdbaan (Pg. 17)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.