dua
din amn-o-āshatī kā manāeñge agle saal
rūThe diloñ ko phir se milā.eñge agle saal
bārūd par jo paise hue ḳharch is baras
iflās-o-bhūk in se miTā.eñge agle saal
har shaḳhs jis ko dekh ke samjhe hai merā ghar
kuchh is tarah se ghar ko sajā.eñge agle saal
jo ho gayā so ho gayā aao kareñ ye ahd
apne tamām va.ade nibhā.eñge agle saal
tum us se gar miloge to ham tum se kyoñ mileñ
aise tamām jhagḌe miTā.eñge agle saal
ḳhākī kafan pahan ke jo sarhad pe jā base
hai ye duā vo lauT ke ā.eñge agle saal
ik baar aur dekh leñ jī bhar ke us taraf
ham apnī ḳhvāhishoñ ko sulā.eñge agle saal
chand aur zāviyoñ se paḌheñge abhī unheñ
ḳhat tere yaar saare jalā.eñge agle saal
is saal to haiñ zaḳhm hare yādoñ ke 'adīl'
koshish ye hai ki tujh ko bhulā.eñge agle saal
din amn-o-ashati ka manaenge agle sal
ruThe dilon ko phir se milaenge agle sal
barud par jo paise hue KHarch is baras
iflas-o-bhuk in se miTaenge agle sal
har shaKHs jis ko dekh ke samjhe hai mera ghar
kuchh is tarah se ghar ko sajaenge agle sal
jo ho gaya so ho gaya aao karen ye ahd
apne tamam wade nibhaenge agle sal
tum us se gar miloge to hum tum se kyon milen
aise tamam jhagDe miTaenge agle sal
KHaki kafan pahan ke jo sarhad pe ja base
hai ye dua wo lauT ke aaenge agle sal
ek bar aur dekh len ji bhar ke us taraf
hum apni KHwahishon ko sulaenge agle sal
chand aur zawiyon se paDhenge abhi unhen
KHat tere yar sare jalaenge agle sal
is sal to hain zaKHm hare yaadon ke 'adil'
koshish ye hai ki tujh ko bhulaenge agle sal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.