dua dua chehra
duā duā vo chehra
hayā hayā vo āñkheñ
sabā sabā vo zulfeñ
chale lahū gardish meñ
rahe aañkh meñ dil meñ
base mire ḳhvāboñ meñ
jale akele-pan meñ
mile har ik mahfil meñ
duā duā vo chehra
kabhī kisī chilman ke pīchhe
kabhī daraḳht ke nīche
kabhī vo haath pakaḌte
kabhī havā se Darte
kabhī vo bārish andar
kabhī vo mauj samundar
kabhī vo sūraj Dhalte
kabhī vo chāñd nikalte
kabhī ḳhayāl kī rau meñ
kabhī charāġh kī lau meñ
duā duā vo chehra
kabhī baal sukhā.e āñgan meñ
kabhī maañg nikāle darpan meñ
kabhī chale pavan ke paañv meñ
kabhī hañse dhuup meñ chhāñv meñ
kabhī pāgal pāgal nainoñ meñ
kabhī chhāgal chhāgal sīnoñ meñ
kabhī phūloñ phuul vo thālī meñ
kabhī diyoñ bharī dīvālī meñ
kabhī sajā huā ā.īne meñ
kabhī duā banā vo ziine meñ
kabhī apne-āp se jañgoñ meñ
kabhī jīvan mauj-tarañgoñ meñ
kabhī naġhma nūr-fazāoñ meñ
kabhī maulā huzūr duāoñ meñ
kabhī ruke hue kisī lamhe meñ
kabhī dukhe hue kisī chehre meñ
vahī chehra boltā rahtā huuñ
vahī āñkheñ sochtā rahtā huuñ
vahī zulfeñ dekhtā rahtā huuñ
duā duā vo chehra
hayā hayā vo āñkheñ
sabā sabā vo zulfeñ
dua dua wo chehra
haya haya wo aankhen
saba saba wo zulfen
chale lahu gardish mein
rahe aankh mein dil mein
base mere KHwabon mein
jale akele-pan mein
mile har ek mahfil mein
dua dua wo chehra
kabhi kisi chilman ke pichhe
kabhi daraKHt ke niche
kabhi wo hath pakaDte
kabhi hawa se Darte
kabhi wo barish andar
kabhi wo mauj samundar
kabhi wo suraj Dhalte
kabhi wo chand nikalte
kabhi KHayal ki rau mein
kabhi charagh ki lau mein
dua dua wo chehra
kabhi baal sukhae aangan mein
kabhi mang nikale darpan mein
kabhi chale pawan ke panw mein
kabhi hanse dhup mein chhanw mein
kabhi pagal pagal nainon mein
kabhi chhagal chhagal sinon mein
kabhi phulon phul wo thaali mein
kabhi diyon bhari diwali mein
kabhi saja hua aaine mein
kabhi dua bana wo zine mein
kabhi apne-ap se jangon mein
kabhi jiwan mauj-tarangon mein
kabhi naghma nur-fazaon mein
kabhi maula huzur duaon mein
kabhi ruke hue kisi lamhe mein
kabhi dukhe hue kisi chehre mein
wahi chehra bolta rahta hun
wahi aankhen sochta rahta hun
wahi zulfen dekhta rahta hun
dua dua wo chehra
haya haya wo aankhen
saba saba wo zulfen
- Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 31)
- Author : Obaidullah Aleem
- Publication : Al-Ibas Printers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.