dua
duā
ai raaja parjā ke mālik
ai saarī duniyā ke mālik
ai donoñ aalam ke daatā
terā nahīñ kisī se naatā
koī nahīñ hai terā ham-sar
tū hai sab se baalā bartar
ham haiñ tere dar ke bhikārī
sharm hai tere haath hamārī
jis ko chāhe izzat de de
jis ko chāhe zillat de de
izzat zillat kā tū mālik
dozaḳh jannat kā tū mālik
mālik tū donoñ aalam kā
ḳhāliq tū jinn-o-ādam kā
chāhte haiñ ham tujh se izzat
de de maulā de de izzat
izzat de ham ko duniyā meñ
rāhat de ham ko uqbā meñ
ilm-o-amal meñ hissa de kar
kar de ham ko sab se behtar
yaad se apnī shaad hameñ kar
duniyā meñ ābād hameñ kar
aql bhī de aur ilm atā kar
fahm bhī de aur hilm atā kar
jis se tū ho raazī maulā
baat vahī hai achchhī maulā
taa.at kā apnī chaskā de
apnī ulfat kā saudā de
ishq kī bū maujūd ho dil meñ
tū hī tū maujūd ho dil meñ
ban jaa.e har kaam hamārā
haq par ho anjām hamārā
dua
ai raja parja ke malik
ai sari duniya ke malik
ai donon aalam ke data
tera nahin kisi se nata
koi nahin hai tera ham-sar
tu hai sab se baala bartar
hum hain tere dar ke bhikari
sharm hai tere hath hamari
jis ko chahe izzat de de
jis ko chahe zillat de de
izzat zillat ka tu malik
dozaKH jannat ka tu malik
malik tu donon aalam ka
KHaliq tu jinn-o-adam ka
chahte hain hum tujh se izzat
de de maula de de izzat
izzat de hum ko duniya mein
rahat de hum ko uqba mein
ilm-o-amal mein hissa de kar
kar de hum ko sab se behtar
yaad se apni shad hamein kar
duniya mein aabaad hamein kar
aql bhi de aur ilm ata kar
fahm bhi de aur hilm ata kar
jis se tu ho raazi maula
baat wahi hai achchhi maula
taat ka apni chaska de
apni ulfat ka sauda de
ishq ki bu maujud ho dil mein
tu hi tu maujud ho dil mein
ban jae har kaam hamara
haq par ho anjam hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.