dua ki shaKH par
jab se aa.ī hai nazar mujh ko duā kī shāḳh par
koñpal asar kī
merī palkoñ ko sajāyā jā rahā hai
jhiil patthar ko banāyā jā rahā hai
ret se ā.īna Dhālā jā rahā hai
sañg-e-zauq-e-dīd se
ik nagīna sā tarāshā jā rahā hai
be-sutūñ par
ek paare kī lakīr
ik musalsal shab ke ba.ad
sub.h-e-nau kī jū-e-shīr
āya-''yamaska'' kī tafsīr
jab se aai hai nazar mujh ko dua ki shaKH par
konpal asar ki
meri palkon ko sajaya ja raha hai
jhil patthar ko banaya ja raha hai
ret se aaina Dhaala ja raha hai
sang-e-zauq-e-did se
ek nagina sa tarasha ja raha hai
be-sutun par
ek pare ki lakir
ek musalsal shab ke baad
subh-e-nau ki ju-e-shir
aaya-yamaska ki tafsir
- Book : siip-volume-35 (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.