dua
kyā yahī zindagī hai ki ham
apne hone kī ḳhushiyāñ manāte raheñ
jism kī lazzatoñ nafs kī shahvatoñ meñ bhaTakte raheñ
saare be-āsrā ġham-gazīdoñ ko ibrat kā zariya samajh kar
apnī āsā.ishoñ ne.amatoñ ke liye sajda-e-shukr meñ apne sar ko jhukāte raheñ
kyā yahī zindagī hai
kyā yahī zindagī hai ki ham
ġhāsiboñ zar-parastoñ se nazreñ churā kar
be-kasoñ be-sahāroñ ko sabr-o-qanā.at kī talqīn karte raheñ
gar yahī zindagī hai to mere ḳhudā
chhīn le ham se apnī ḳhilāfat kā mansab
ki ham vāqa.ī is ke laa.eq nahīñ
varna ai mere rab rahm kar rahm kar
zindagī dī hai ham ko to phir
zindagī kā salīqa sikhā de
kya yahi zindagi hai ki hum
apne hone ki KHushiyan manate rahen
jism ki lazzaton nafs ki shahwaton mein bhaTakte rahen
sare be-asra gham-gazidon ko ibrat ka zariya samajh kar
apni aasaishon neamaton ke liye sajda-e-shukr mein apne sar ko jhukate rahen
kya yahi zindagi hai
kya yahi zindagi hai ki hum
ghasibon zar-paraston se nazren chura kar
be-kason be-sahaaron ko sabr-o-qanaat ki talqin karte rahen
gar yahi zindagi hai to mere KHuda
chhin le hum se apni KHilafat ka mansab
ki hum waqai is ke laeq nahin
warna ai mere rab rahm kar rahm kar
zindagi di hai hum ko to phir
zindagi ka saliqa sikha de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.