dua
maiñ nazmeñ nahīñ kahtī
maiñ duā.eñ likhtī huuñ
dard kī kircheñ chuntī huuñ
tere pairoñ kī uñgliyāñ sahlātī huuñ
māthe se bhauñ ke beach
ek chāñd tere naam kartī huuñ
hoñThoñ pe aTke kāñch ke TukḌe chuum kar
ḳhvāhish kahtī huuñ
tere baa.eñ hisse pe haath rakhkar
kuchh sansanāhaT apnī nasoñ meñ bhartī huuñ
aur uñglī se āsmān par
maiñ tere liye duā.eñ likhtī huuñ
main nazmen nahin kahti
main duaen likhti hun
dard ki kirchen chunti hun
tere pairon ki ungliyan sahlati hun
mathe se bhaun ke beach
ek chand tere nam karti hun
honThon pe aTke kanch ke TukDe chum kar
KHwahish kahti hun
tere baen hisse pe hath rakhkar
kuchh sansanahaT apni nason mein bharti hun
aur ungli se aasman par
main tere liye duaen likhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.