dukan
niim ke saa.e meñ
ek khurdure fōtpath par
lahakte sūraj se pare
shikasta chobī gaaḌī kī zamīñ pe
TeḌhe meḌhe haath paañv meñ
ulajhtī hayāt
ġham-zada āñkhoñ ke dard
lab pe ik ḳhāmosh karb
muñh se kuchh bahte luaab
apnī jānib
khīñchte haiñ
bolte sukūñ ke Dher
nim ke sae mein
ek khurdure footpath par
lahakte suraj se pare
shikasta chobi gaDi ki zamin pe
TeDhe meDhe hath panw mein
ulajhti hayat
gham-zada aankhon ke dard
lab pe ek KHamosh karb
munh se kuchh bahte luab
apni jaanib
khinchte hain
bolte sukun ke Dher
- Book : Hawa ke shamiane mein (Pg. 23)
- Author : Jafar Sahni
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.