dukh ki parchhain
be-hisī kī dabīz chādareñ
saare ehsās so ga.e
aur maiñ
apnī sochoñ se ho ke be-pardā
apnī āñkhoñ kī saarī parchhā.iyoñ ko
dekhtī huuñ
dhundlī parchhā.iyoñ ko dekhtī huuñ
merī taqdīr kī nadī pe chalī
dukh kī lahroñ pe
naav āñkhoñ kī
kab kināre pe jā ke pahuñchegī
dukh kī lahroñ pe naav āñkhoñ kī
be-hisi ki dabiz chadaren
sare ehsas so gae
aur main
apni sochon se ho ke be-parda
apni aankhon ki sari parchhaiyon ko
dekhti hun
dhundli parchhaiyon ko dekhti hun
meri taqdir ki nadi pe chali
dukh ki lahron pe
naw aankhon ki
kab kinare pe ja ke pahunchegi
dukh ki lahron pe naw aankhon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.