dukh maile aakash ka
dukh ke ruup hazāroñ haiñ
havā bhī dukh aur aag bhī dukh hai
maiñ terā tū merā dukh hai
par ye maile aur gahre ākāsh kā dukh
jo qatra qatra Tapak rahā hai
is dukh kā koī ant nahīñ hai
jab ākāsh kā dil dukhtā hai
bachche būḌhe shajar hajar chiḌiyāñ aur kiiḌe
sab ke andar dukh ugtā hai
phir ye dukh āñkhoñ ke raste
gāloñ par bahne lagtā hai
phir ThoḌī ke panj-nad par sab dukhoñ ke dhāre aa milte haiñ
aur shabnam sā mukh dhartī kā
ḳhud ik dhārā ban jaatā hai
sunā yahī hai
pahle bhī ik baar dukhī ākāsh kī āñkheñ Tapak paḌī thiiñ
par dhartī kī āḳhirī naav
ziist ke bikhre TukḌoñ ko chhātī se lagā.e
paanī kī sarkash maujoñ se laḌtī-bhiḌtī
duur ufuq tak jā pahuñchī thī
aaj magar vo naav kaun se des ga.ī hai
dukh maile ākāsh kā dukh
ab chāroñ jānib umaD paḌā hai
qatra qatra Tapak rahā hai
dukh ke rup hazaron hain
hawa bhi dukh aur aag bhi dukh hai
main tera tu mera dukh hai
par ye maile aur gahre aakash ka dukh
jo qatra qatra Tapak raha hai
is dukh ka koi ant nahin hai
jab aakash ka dil dukhta hai
bachche buDhe shajar hajar chiDiyan aur kiDe
sab ke andar dukh ugta hai
phir ye dukh aankhon ke raste
galon par bahne lagta hai
phir ThoDi ke panj-nad par sab dukhon ke dhaare aa milte hain
aur shabnam sa mukh dharti ka
KHud ek dhaara ban jata hai
suna yahi hai
pahle bhi ek bar dukhi aakash ki aankhen Tapak paDi thin
par dharti ki aaKHiri naw
zist ke bikhre TukDon ko chhati se lagae
pani ki sarkash maujon se laDti-bhiDti
dur ufuq tak ja pahunchi thi
aaj magar wo naw kaun se des gai hai
dukh maile aakash ka dukh
ab chaaron jaanib umaD paDa hai
qatra qatra Tapak raha hai
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.