dukhti haDDiyon ki wakalat
dikhtī haDDiyāñ kahtī hai ārām karo ab
dil kahtā hai abhī nahīñ abhī to kaam paḌā hai sab
magar ek aur hī bolī boltā hai dimāġh
pahle kaun sā tiir maar liyā thā aap ne jo ab phir chale haiñ jauhar dikhāne
sarau.Te kā don khote aur sarshār kā ḳhudā.ī faujdārī bhī
taḌapte hoñge qabr meñ paḌe paḌe
aap kī be-qarāriyāñ dekh kar
duniyā hī to badal Daalī aap ne apnī tahrīroñ aur taqrīroñ se
aur kyā kahne haiñ aap kī siyāsat ke
sotoñ ko jagā diyā aap ne
zer-dastoñ ko uThā diyā zabardastoñ ko girā diyā aap ne
sach-much kā inqilāb hī to barpā kar ke rakh diyā aap ne
chhoḌ jaane dījiye bahut ho ga.ī janāb
sunahre harfoñ meñ likhā jā chukā hai aap kā naam an-likhī tārīḳh meñ
aap vo hero haiñ koī giit nahīñ gaatā jis ke
vo gumnām sipāhī haiñ jise sirf
āsmān kī aañkh ne dekhā hotā hai dād-e-shujā.at dete
agar aap ke hāthoñ vāqa.ī koī achchhā kaam sarzad ho gayā thā to
yaqīnan patā hogā us kā ḳhudā ko
vo is kā zarūr ajr degā aap ko
aur sabr se baḌh kar kyā ho saktā hai ajr
sabr kījiye zarā
dukhtī haDDiyoñ kī bhī sun lījiye zarā
is ḳhāna-ḳharāb-e-dil kī maan kar hī to aap hue haiñ ḳhāna-ḳharāb
hamesha bahkāyā hai us ne aap ko
ġhalat-salat rāstoñ par chalāyā hai aap ko
jahāñ chup rahne meñ maslahat thī vahāñ bolne par uksāyā hai aap ko
jab haath baḌhā kar jaam uThāne kā vaqt thā to
inkisārī ke chakkar meñ phañsāyā hai aap ko
zarā apne badan se pochhiye apnī umr aur phir pūchh kar dekhiye dil se
aap sattar ke haiñ nā magar badan kahe gā saal
aur dil batā.egā chālīs saal
is dil par ḳhuun kī gulābī ne
huliya bigāḌ kar rakh diyā hai achchhe-bhale insān kā
paḌhe-likkhe sharīf aadmī ko dhakel diyā hai
siyāsat ke qassāb-ḳhāne meñ
bha.ī jis kā kaam usī ko saaje aur kare to Theñgā baaje
aap kyuuñ pareshān hote haiñ har barī ḳhabar par
vaise kabhī ḳhair kī ḳhabar bhī aa.ī hai vatan-e-azīz se
yaad nahīñ rahā aap ke to murshid bhī kahte the baar baar
vo kaam hamārī zimmedārī nahīñ hotā jis kī anjām-dahī kā sāmān na de ḳhudā
umar-fārūq ko zeb detā thā fikrmand honā
furāt ke kināre bhuuk se mar jaane vaale kutte ke liye
is liye ki vo the ḳhalīfa-a-vaqt
to kan meñ ḳhvāh-maḳhvāh
aap to kotvāl bhī nahīñ kisī shahr ke
aur chale haiñ puure malak kī fikr karne
balki saarī insāniyat kā ġham paal rakhā hai aap ne to
maiñ ne pahle bhī kahā shā.iroñ kī bak bak na sunā kareñ aap ziyāda
ba-qaul-e-ḳhudā vo to aadī haiñ ġhalat-bayānī ke
haahā kāñTā chubhe kisī ko taḌapte haiñ ham amiir saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
aap ko auroñ kī paḌī haiñ pahle apnī to nabeḌ leñ aap
charity begins at home janāb
aa.iye sukūn se baiThe do ghaḌī
ziyāda der khaḌe rahne se aur baḌh jā.egā ghuTne kā dard
kyā ḳhayāl hai sabz chaa.e ke baare meñ
yā phir pī lījiye ThanDā mīThā rūh-afzā
siine āsmānī mausīqī baaḳh aur motzārT kī
Dhīlā chhoḌiye zarā a.asāb ko
so jā.iye so jā.iye niiñd aa jaa.e agar
lorī duuñ aap ko
rāt-din gardish meñ haiñ saat āsmāñ
ho rahegā kuchh na kuchh ghabrā.eñ kyā
dikhti haDDiyan kahti hai aaram karo ab
dil kahta hai abhi nahin abhi to kaam paDa hai sab
magar ek aur hi boli bolta hai dimagh
pahle kaun sa tir mar liya tha aap ne jo ab phir chale hain jauhar dikhane
sarauTe ka don khote aur sarshaar ka KHudai faujdari bhi
taDapte honge qabr mein paDe paDe
aap ki be-qarariyan dekh kar
duniya hi to badal Dali aap ne apni tahriron aur taqriron se
aur kya kahne hain aap ki siyasat ke
soton ko jaga diya aap ne
zer-daston ko uTha diya zabardaston ko gira diya aap ne
sach-much ka inqilab hi to barpa kar ke rakh diya aap ne
chhoD jaane dijiye bahut ho gai janab
sunahre harfon mein likha ja chuka hai aap ka nam an-likhi tariKH mein
aap wo hero hain koi git nahin gata jis ke
wo gumnam sipahi hain jise sirf
aasman ki aankh ne dekha hota hai dad-e-shujaat dete
agar aap ke hathon waqai koi achchha kaam sarzad ho gaya tha to
yaqinan pata hoga us ka KHuda ko
wo is ka zarur ajr dega aap ko
aur sabr se baDh kar kya ho sakta hai ajr
sabr kijiye zara
dukhti haDDiyon ki bhi sun lijiye zara
is KHana-KHarab-e-dil ki man kar hi to aap hue hain KHana-KHarab
hamesha bahkaya hai us ne aap ko
ghalat-salat raston par chalaya hai aap ko
jahan chup rahne mein maslahat thi wahan bolne par uksaya hai aap ko
jab hath baDha kar jam uThane ka waqt tha to
inkisari ke chakkar mein phansaya hai aap ko
zara apne badan se pochhiye apni umr aur phir puchh kar dekhiye dil se
aap sattar ke hain na magar badan kahe ga sal
aur dil bataega chaalis sal
is dil par KHun ki gulabi ne
huliya bigaD kar rakh diya hai achchhe-bhale insan ka
paDhe-likkhe sharif aadmi ko dhakel diya hai
siyasat ke qassab-KHane mein
bhai jis ka kaam usi ko saje aur kare to Thenga baje
aap kyun pareshan hote hain har bari KHabar par
waise kabhi KHair ki KHabar bhi aai hai watan-e-aziz se
yaad nahin raha aap ke to murshid bhi kahte the bar bar
wo kaam hamari zimmedari nahin hota jis ki anjam-dahi ka saman na de KHuda
umar-faruq ko zeb deta tha fikrmand hona
furaat ke kinare bhuk se mar jaane wale kutte ke liye
is liye ki wo the KHalifa-a-waqt
to kan mein KHwah-maKHwah
aap to kotwal bhi nahin kisi shahr ke
aur chale hain pure malak ki fikr karne
balki sari insaniyat ka gham pal rakha hai aap ne to
main ne pahle bhi kaha shairon ki bak bak na suna karen aap ziyaada
ba-qaul-e-KHuda wo to aadi hain ghalat-bayani ke
haha kanTa chubhe kisi ko taDapte hain hum amir sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
aap ko auron ki paDi hain pahle apni to nabeD len aap
charity begins at home janab
aaiye sukun se baiThe do ghaDi
ziyaada der khaDe rahne se aur baDh jaega ghuTne ka dard
kya KHayal hai sabz chae ke bare mein
ya phir pi lijiye ThanDa miTha ruh-afza
sine aasmani mausiqi baKH aur motzarT ki
Dhila chhoDiye zara aasab ko
so jaiye so jaiye nind aa jae agar
lori dun aap ko
raat-din gardish mein hain sat aasman
ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya
- Book : din kaa phool (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.