dulhan
dulhan ganjī hai dulhan ganjī hai
laḌkiyāñ tāliyāñ bajāte hue bolīñ
aur der tak zor zor se hañstī rahīñ
kuchh auratoñ ne unheñ āhista se DāñTā
aur dulhan ke paas jā ke use chup karāne lagīñ
vo ro rahī thī
us din se le kar puure tiin baras tak vo
āhista āhista khāñste khāñste aur rote rote mar ga.ī
us kī beTī ab sola baras kī hai
zamīn ko chhūte hue us ke
siyāh reshmī baal sab ko hairān karte haiñ
un laḌkiyoñ ko bhī jo apne bāloñ bhare
safed sar kī vaj.h se
ab dulhan nahīñ ban sakeñgī
dulhan ganji hai dulhan ganji hai
laDkiyan taliyan bajate hue bolin
aur der tak zor zor se hansti rahin
kuchh auraton ne unhen aahista se DanTa
aur dulhan ke pas ja ke use chup karane lagin
wo ro rahi thi
us din se le kar pure tin baras tak wo
aahista aahista khanste khanste aur rote rote mar gai
us ki beTi ab sola baras ki hai
zamin ko chhute hue us ke
siyah reshmi baal sab ko hairan karte hain
un laDkiyon ko bhi jo apne baalon bhare
safed sar ki wajh se
ab dulhan nahin ban sakengi
- Book : saarii nazmen (Pg. 247)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.