duniya bhar ke dukh ka hasil
ḳhālī kamra
gahrī sāñseñ
kamre ke ik kone meñ ik TūTī-phūTī mez
mez pe duniyā bhar kā gorakh-dhandā
kāTh-kabāḌ
kāTh-kabāḌ se thoḌā aage tirchhā paper-weight
paper-weight ke nīche kāġhaz
kāġhaz par lafzoñ kā Dher
Dher ke paas ik TuuTī ainak
ainak ke shīshoñ ke pīchhe moTe moTe harf
ainak ke shīshoñ se aage niile piile kaale dhabbe
dhabboñ meñ auñdhe muñh leTī aish-tray meñ murda sāñseñ bujhtī cigarette
aur māchis kī aadhī tiilī
māchis kī tiilī pe chipkā chaa.e kā chhilkā
aur ik TuuTī DanDī kā cup
cup se aage mez kā konā
mez se aage jhūltī kursī
kursī par ik shaḳhs
shaḳhs bhī vo jis kī āñkhoñ meñ duniyā bhar kā dukh
duniyā bhar ke dukh kā hāsil
duniyā bhar kā dukh!!
KHali kamra
gahri sansen
kamre ke ek kone mein ek TuTi-phuTi mez
mez pe duniya bhar ka gorakh-dhanda
kaTh-kabaD
kaTh-kabaD se thoDa aage tirchha paper-weight
paper-weight ke niche kaghaz
kaghaz par lafzon ka Dher
Dher ke pas ek TuTi ainak
ainak ke shishon ke pichhe moTe moTe harf
ainak ke shishon se aage nile pile kale dhabbe
dhabbon mein aundhe munh leTi aish-tray mein murda sansen bujhti cigarette
aur machis ki aadhi tili
machis ki tili pe chipka chae ka chhilka
aur ek TuTi DanDi ka cup
cup se aage mez ka kona
mez se aage jhulti kursi
kursi par ek shaKHs
shaKHs bhi wo jis ki aankhon mein duniya bhar ka dukh
duniya bhar ke dukh ka hasil
duniya bhar ka dukh!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.