duniya mein jannat
bāġhoñ ne pahnā
phūloñ kā gahnā
nahroñ kā bahnā
vārafta rahnā
duniyā meñ jannat merā vatan hai
bhūrī ghaTā.eñ
laa.eñ havā.eñ
bāġhoñ meñ jaa.eñ
kaliyāñ khilā.eñ
duniyā meñ jannat merā vatan hai
ik jhoñpaḌī hai
sab kuchh yahī hai
kyā sādgī hai
kyā zindagī hai
duniyā meñ jannat merā vatan hai
'krishn' kanhaiyā
rādhā kā rasiyā
bachchoñ ke 'afsar'
thā is zamīñ kā
raushan sitārā
duniyā meñ jannat merā vatan hai
vo turk aa.e
bhārat pe chhā.e
jhanDe uḌaa.e
qur.ān laa.e
duniyā meñ jannat merā vatan hai
chishtī ne baḳhshā
dil ko sahārā
hamdard aisā
kis ko milā thā
duniyā meñ jannat merā vatan hai
gautam kā ghar hai
jannat kā dar hai
'afsar' kidhar hai
kyā be-ḳhabar hai
duniyā meñ jannat merā vatan hai
baghon ne pahna
phulon ka gahna
nahron ka bahna
warafta rahna
duniya mein jannat mera watan hai
bhuri ghaTaen
laen hawaen
baghon mein jaen
kaliyan khilaen
duniya mein jannat mera watan hai
ek jhonpaDi hai
sab kuchh yahi hai
kya sadgi hai
kya zindagi hai
duniya mein jannat mera watan hai
'krishn' kanhaiya
radha ka rasiya
bachchon ke 'afsar'
tha is zamin ka
raushan sitara
duniya mein jannat mera watan hai
wo turk aae
bhaarat pe chhae
jhanDe uDae
quran lae
duniya mein jannat mera watan hai
chishti ne baKHsha
dil ko sahaara
hamdard aisa
kis ko mila tha
duniya mein jannat mera watan hai
gautam ka ghar hai
jannat ka dar hai
'afsar' kidhar hai
kya be-KHabar hai
duniya mein jannat mera watan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.