dushman ke liye dua
ḳhudā-e-bartar
hamārī chīḳheñ hamāre sīnoñ meñ jam
ga.ī haiñ
tamām sāthī tamām ghāyal
hamāre qātil bane hue haiñ
kabhī to un ke tamām chhāle
hamāre ḳhuuñ ko jalā rahe haiñ
kabhī ye saare aliil insāñ
gurez-o-tanz-o-jafā ke aare chalā rahe haiñ
javāb kyā deñ
ḳhudā-e-bartar
unheñ shifā de
ki ham vo apne tamām rangoñ kī kā.enāteñ
unheñ dikhā.eñ
jo kitnī sadiyoñ se ban ke laavā
hamāre sīnoñ meñ jal rahī haiñ
KHuda-e-bartar
hamari chiKHen hamare sinon mein jam
gai hain
tamam sathi tamam ghayal
hamare qatil bane hue hain
kabhi to un ke tamam chhaale
hamare KHun ko jala rahe hain
kabhi ye sare alil insan
gurez-o-tanz-o-jafa ke aare chala rahe hain
jawab kya den
KHuda-e-bartar
unhen shifa de
ki hum wo apne tamam rangon ki kaenaten
unhen dikhaen
jo kitni sadiyon se ban ke lawa
hamare sinon mein jal rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.