dushman ki taraf dosti ka hath
Interesting Fact
(Naqsh, Karachi, January-February 1973)
mere jism meñ zahr hai terā
merā dil hai terā ghar
tū maujūd hai saath hamesha
ḳhauf sā ban kar shām-o-sahar
terā asar hai mere lahū par
jaise chāñd samundar par
itnī zard hai rañgat terī
jam jaatī hai us pe nazar
tū hai sazā mire hone kī
yā hai merā zād-e-safar
karegā tū bīmār mujhe yā
banegā nā-mālūm kā Dar
rahegā daa.im gahrī tah meñ
jaise añdhere meñ koī dar
gum kar degā raah meñ mujh ko
yā degā manzil kī ḳhabar
tū hai merā dost ki dushman
ye to batā mujh ko ai zar
mere jism mein zahr hai tera
mera dil hai tera ghar
tu maujud hai sath hamesha
KHauf sa ban kar sham-o-sahar
tera asar hai mere lahu par
jaise chand samundar par
itni zard hai rangat teri
jam jati hai us pe nazar
tu hai saza mere hone ki
ya hai mera zad-e-safar
karega tu bimar mujhe ya
banega na-malum ka Dar
rahega daim gahri tah mein
jaise andhere mein koi dar
gum kar dega rah mein mujh ko
ya dega manzil ki KHabar
tu hai mera dost ki dushman
ye to bata mujh ko ai zar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.