dushmani ka lutf
kisī jhagḌe se bas itne zarā se fāsle par
agar ab bhī hamārī dostī qaa.em hai
to aao
mubārakbād deñ ik dūsre ko
magar ik baat samjhā duuñ maiñ tum ko
agar ham meñ kabhī jhagḌā huā bhī
to maiñ us dushmanī kā lutf to lene nahīñ dūñgā tumheñ hargiz
vo jis kī chaah har jhagḌe kī zimmedār hotī hai
mirī nazroñ meñ jhagḌe kā tasavvur kuchh alag hai
vo hai bas dostī kā ḳhatm ho jaanā
maiñ rishte ko kabhī bhī dushmanī kī shakl meñ
jaarī nahīñ rakhtā
kisi jhagDe se bas itne zara se fasle par
agar ab bhi hamari dosti qaem hai
to aao
mubarakbaad den ek dusre ko
magar ek baat samjha dun main tum ko
agar hum mein kabhi jhagDa hua bhi
to main us dushmani ka lutf to lene nahin dunga tumhein hargiz
wo jis ki chah har jhagDe ki zimmedar hoti hai
meri nazron mein jhagDe ka tasawwur kuchh alag hai
wo hai bas dosti ka KHatm ho jaana
main rishte ko kabhi bhi dushmani ki shakl mein
jari nahin rakhta
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 125)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.