dushwar din ke kinare
ḳhvāboñ meñ ghar lahroñ par āhista khultā hai
paas bulātā hai kahtā hai dhuup nikalne se
pahle so jā.ūñgā maiñ hañstā huuñ laḌkī
tere haath bahut pyāre haiñ vo hañstī hai
dekho lālTain ke shīshe par kālak jam jā.egī
bārish kī ye raat bahut kaalī hai kachche raste par
gaaḌī ke pahiye ghaav banā kar kho jaate haiñ
ek sitār
biis baras kī duurī par ab bhī raushan hai
KHwabon mein ghar lahron par aahista khulta hai
pas bulata hai kahta hai dhup nikalne se
pahle so jaunga main hansta hun laDki
tere hath bahut pyare hain wo hansti hai
dekho lalTain ke shishe par kalak jam jaegi
barish ki ye raat bahut kali hai kachche raste par
gaDi ke pahiye ghaw bana kar kho jate hain
ek sitar
bis baras ki duri par ab bhi raushan hai
- Book : meyaar (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.