dushwari
maiñ bhuul jā.ūñ tumheñ
ab yahī munāsib hai
magar bhulānā bhī chāhūñ to kis tarah bhūlūñ
ki tum to phir bhī haqīqat ho
koī ḳhvāb nahīñ
yahāñ to dil kā ye aalam hai kyā kahūñ
kam-baḳht
bhulā na paayā vo silsila
jo thā hī nahīñ
vo ik ḳhayāl
jo āvāz tak gayā hī nahīñ
vo ek baat
jo maiñ kah nahīñ sakā tum se
vo ek rabt
jo ham meñ kabhī rahā hī nahīñ
mujhe hai yaad vo sab
jo kabhī huā hī nahīñ
main bhul jaun tumhein
ab yahi munasib hai
magar bhulana bhi chahun to kis tarah bhulun
ki tum to phir bhi haqiqat ho
koi KHwab nahin
yahan to dil ka ye aalam hai kya kahun
kam-baKHt
bhula na paya wo silsila
jo tha hi nahin
wo ek KHayal
jo aawaz tak gaya hi nahin
wo ek baat
jo main kah nahin saka tum se
wo ek rabt
jo hum mein kabhi raha hi nahin
mujhe hai yaad wo sab
jo kabhi hua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.