lanka
din chaḌhte hī jahāñ
budhdam sharnam gachchhāmī
guuñj uThtā hai
jahāñ hanūmān mandir meñ
ghanTiyāñ bajne lagtī haiñ
jahāñ log masjid girje se
uupar vaale ko yaad kar
din ke kaam pe nikal paḌte haiñ
maiñ ne vo lanka dekhī hai
maiñ ne sone kī lanka dekhī hai
maiñ ne rāvan rākshas kī lanka dekhī hai
lekin maiñ ne lanka meñ ye bhī dekhā
ki insān apne andar ke rākshas kā vadh kar
saarī bhinnatā.eñ bhulā kar aapsī ranj miTā kar
ek dūsre ke saath amn-o-shāntī se rah saktā hai
bas shart ye use samundar se ghire ek jazīre par
chhoḌ kar to dekho
din chaDhte hi jahan
budhdam sharnam gachchhami
gunj uThta hai
jahan hanuman mandir mein
ghanTiyan bajne lagti hain
jahan log masjid girje se
upar wale ko yaad kar
din ke kaam pe nikal paDte hain
main ne wo lanka dekhi hai
main ne sone ki lanka dekhi hai
main ne rawan rakshas ki lanka dekhi hai
lekin main ne lanka mein ye bhi dekha
ki insan apne andar ke rakshas ka wadh kar
sari bhinnataen bhula kar aapsi ranj miTa kar
ek dusre ke sath amn-o-shanti se rah sakta hai
bas shart ye use samundar se ghire ek jazire par
chhoD kar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.